~ Ek waada ke hum nibaah na sakay ~

Umeed jawaab tu aap ka nahee ke aap ne mere reply ka jawaab bahut khoobsurati se ada kiya...

gaye baras ke inhi dinoN me
jo ham mile to ye taye kiya tha
na phir milieN geiN

buhat fasurda rahe ga mosam
guloN ki ankhoN me ansuwoN ki
jhaRi rahe gi

hamaare aangan me boorhe bargid
pe baithi bulbul hame na pa ke
fughaN kare gi

hamaare jazboN ki shiddatoN ko
samajhne wali hawa ki aaheN
usse kaheN gein

ke ' chahaton ka ye do dawaane
wisaal jaisa sila na lain gain,
nahi milaiN ge'

buhat hi qudrat ko dard ho ga
hamaari furqat ka ghum kare gi
ya phir hanse gi????

junooN ki tohmat bhi wo dharrey gi
' hain inki baateiN bagawatoN se
qareeN' kahe gi

ajab kare gi -- ke furqatoN ki
tawaalatoN me mohabbaton ki
baqa nihaaN he.

tamaam faani mohabbon ki
kasaafaton ka lataafaton ka
yahi jahaaN he.

hum apne jazbe amar karein gein
so uss jahaaN me hi buss mileN ge
jo be fana he.

tamaam alam pe ab ayaaN he
hamaari furqat hamaari qurbat
ki intiha he.
gaye baras ke inhi dinon me
ye taye kiya tha na phir mileiN ge
nahi mile haiN...

Aap bhi khush rahain aur apna khayal rakheyeyga...
and thanks for your wishes and prayers...!