Re: Eid-Ul-Adha - Hajj-E-Akbar - (Oct-Time Pass)
Hum Sindhiyon main laRki walon ki taraf se khana nahin hota.. ab kuch log doosron ki dekha dekhi karne lage hain… ya phir laRke wale degen bhijwa dete hain laRki walon ke apne mehmanon ko khilaen aur rishtadaron , doston ke ghar bhi bhejen.
Meri Maami (dulhe ki maa) ne mujh se pucha tha kitni degen bheejon… maine mana kar dia… unke hamare janene wale ek hi hain. unki taraf se khana jae ga to hamari taraf se double ho jae ga. Maami ne boht kaha ‘log baaten banate hain’. maine kaha banane do, aap ik ik ghar main puri deg bhi bhej do bhi baten banane wale chup nahin bethen ge. paise bachane do.. baad main apne ghar main hi lagaen. boht kharcha hota hai.. kiya nahin chahiye hota… Maami nahin maan rahi thi to maine kaha ‘acha jab main shadi karun to aap logon ko khana khila dejiye ga’ ![]()