Re: Eid Poetry
aq bhai yeh mein kya sun raha hoon ![]()
Re: Eid Poetry
aq bhai yeh mein kya sun raha hoon ![]()
Re: Eid Poetry
suntaY raho
sar dhuntaY raho
aur khush hotaY raho
miyaaN! sadaa hastaY raho
aap kiyaa karnaY gaye thaY ghusal khaanaY maiN
zeb-e-malboos-e-badan dhoti ghusal khaanaY maiN
qulzum-e-hasti kaa naa aaya khiyal aap ko
Bin jaaNgiye der lagaa dee ghusal khaanaY maiN
Jo saath saabun kaY chaRhaa aap ko shoq thaa
bulbulaY banaataY rahai phir ghusal khaanaY maiN
AmmaaN cheekhti raheeN, beta! yom-e-Eid aaj hai
Eid manaataY rahai aap ghusal khaanaY maiN
bay sabaati-e-aalam dekhiye, aik hee dhoti thee
ussaY hee dhotaY rahai ghusal khaanaY maiN
tifl-e-naadaaN bhee thaY, woh bhee pahunch gaye
ghanTi aap kee woh bajaataY rahai ghusal khaanay maiN
Re: Eid Poetry
*mai gya nahi tha mujje kisis nay di thi ye khabbar
ye aaap ka weham hai, kartaiN haap aap bas tasawar
chahooN to poora afsana likh sakta hoon mai magaR
Itna time nahi kay karooN mai aap say chabar gabbaR*
Re: Eid Poetry
Eid kay geet sub gaatay rahay
aik dusray ko bara satatay rahay
aik dusray kay ghar baar baar aatay jaatay rahay
unka sar fazool mein khaatay rahay
Re: Eid Poetry
Muskarati ,gungunati,jhum ti ayegi Eid
teray daman main baharoon ki mehak laigii eid,
hum sey kab mukoof hai hey ronaq tumharay bazam ki,
chahay hum na hoon mager ayegi Eid"
Re: Eid Poetry
Jawaab nahi :umda: ![]()
Re: Eid Poetry
A.Q lagta hai mehsoos kar gaye :D AQ yaar mai mazak kia tha, kher I replied to ur ghazal
Eid Mubarak
I know this is a lil early to wish everyone ‘EID MUBARAK’ but i’m unfortunately a bit busy these days and cannot come regularly to GS. And I’d like to apologise to my good friends that im unable to open everyone’s thread due to time constraints.
Kher, I hope Eid brings a season of Blessings and Happiness in everyones lives. I hope the holy month succeeds in making us a better person - even in the smallest ways!
Take care everyone and in this happy time, keep the poor, the abused and the oppressed in ur prayers.
EID MUBARAK!!!
![]()
Re: Eid Poetry
To my good nicker and a great friend of Anu bahi (AQ) , Mr ASN , on a Farma'ishi programme !
Arzz kia hai janab ASN bahi kay leay:
tum na Anay mein kaheen , naa hi kaheen Jaanay mein
Tu miyaan. Roz kia kartaY ho Ghusaal khanay mein ?
*Dair itnee kyun lagtee hai , tumhay nahaanay mein *
*Chupaa rakha kohi risaalaa kia ghusaal kahnay mein *
Now couple of more : *Asn bahi ki nazar *
Kohi pooda laga’ya hai wahan kia Tum nay ?
*Daynay jatay ho jisay Pani Ghusaal khanay mein *
Kitnaaa saabun kaa baraa.dala hai karchaa Tum nay **
** Kahan kahan pay ishay lagtay hoo , ghusaal kahnay mein?
*P.s: It's just some friendly bantar ASN :) dont take it serious mate ! *
Re: Eid Poetry
niceeee :P mere pass koi nahe haiii siidd ::(
Re: Eid Mubarak
Thanks Jw
so nice of you hope u vl come back soon n do some contact ![]()
Re: Eid Mubarak
Khair Mubarak :)
Re: Eid Poetry
A.Q lagta hai mehsoos kar gaye :D AQ yaar mai mazak kia tha, kher I replied to ur ghazal
yaar ASN, aap kay reply maiN agar sher waali baat hoti tau maiN bhee reply kar detaa... laikin bay wazan aur zabardasti kaY qaafiye kaa jawaab koi naheeN hai... :D
Re: Eid Poetry
@ aq agreed ![]()
Re: Eid Poetry
[http://www.uploadgeek.com/uploads456/1/8678-006-01-1021.gif](http://www.uploadgeek.com)Re: Eid Poetry
this is my bachpan ka shair i recieved from my cousin (with an eid card, us waqt mobile itnay common nahi thay)
Eid eid na kar eid bhi aa jaye gi
pehle rozay puray rakh teri hosh thikanay lag jaye gi
Re: Eid Poetry
![]()
correct form
Eid Eid Kartay Ho Eid Bhi Aa Jaye Gi
Pehle Rozay To Rakho Aqal Thikanay Aa Jayegi
Re: Eid Poetry
haan yaar aisa hi kuch tha, ab to 10 12 saal ho gaye hein is shair ko sunay hue :)
one more
Dabbay mein dabba dabbay mein khajoor
mera dost hai ek langoor
Re: Eid Poetry
dabay mein daba dabay mein cake
mera prince paai laakhon mein aik
Jhoot ramzan mein ALLAH maaf kare mujhe amin ![]()