mein to ek chota sa bacha hoon zaada sochta wochta nahi hoon jabhi mashallah saht achi hai
arayyy ..
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/eek.gif
… 6+ft is CHOTA??? hheheehehe .. BUHAT sahi ja rahay hain yasir bhai aap ..
**Soch loo dear, confused itna bhi confused nahi hai jitna apnay aap ko show karta hai, banda laakhoon mein ek hai. shakal, surat, seerat, taur, tareekay, milan-saari, ikhlaaq, baroon ka adab, chotoon say pyar, namaazi, parhaiz-gaar aisa banda milna to mushkil hai…agar ek dafa haath say gaya to phir naa haath aayega soch lain, janaab…
**
LAAKHON main ek to hoon jigar.. per KISS type ke laakhon main? iss par pardaa uthana matt hehhhee ..
khair .. ye yasir sahab lagta hay FULL nashay main hain aaj .. pata nahin hamm donon jo aaj shoppers world ke qareeb pool khailnay gaye thay uss main ye sahab kyoon itna hyper huay ke following sab kuch keh gaye .. lets take a look:
shakal surat-phitkaar barasti huee heheheehehe.. ke log colleges main dekh kar corrdiors main say bhag kar ja kar classes main chup kar baith jaatay hain .. samnaa honay lagay to rasta badal kar bhaag jaatay hain ke arayyyyyy teray ki.. WO aaya confused…lolz..
seerat- sigh .. ohok.. chalain wo bhee NEUTRALIZATION ko rakh kar maan laitay hain .. warna aap sarr pe charh aayengay yasir bhai (aur phir phisal jayengay eheehehehehhe)
taur-tareeqay- computers ke sath lagay rehna aur UNKO bhee confused (crash) kartay rehna? neahhh .. thats not REALLY good taur tareeqay..heheeehhe…
milan-saari-khudaaaaaaaaaa ka azaab ho yasir heheehhehehehe.. sachayee ko maano.. tujhay ye milan-saari kabb say dikhnay lagi meray andarr? scratches head .. milan-saari to teray andarr hay .. “40 dollars hon ya 60, kiya faraq parta hay, rozi bus haqq-halaal ki honi chaiyay” .. :hehe icons x 10:
ikhlaaq- ji haan wo AISA ke pani mango to chai milay, chai mango to coffee.. (donon apni haath ki btw, yasir bhai jantay hain ke main ullu+bewaqoof chor kar SIRF chai acha banata hoon) LOL ..
baroon ka adab-danday ka khoff basically yar .. apna koee kamaal nahin yara..
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif
hk aur sajal baji takk ka karna parta hay u know.. aur hk to phir bhee mujh say choti hay .. kheekhekhkheehe..
chotoon say pyar- Scratches head .. ohhhhhhhhhhh ooooooooo .. heheeheheehe did i said hk is choti? ok .. hmmmmmm.. yeah i THINK i did ..grrrrrrrrrr.. acha khair, choton say pyaar, iss waja say ke babysitting na karain aur unko masroof na rakhain to wo phir meri tofyon, stuffed toys aur chocolates ke collection par dhaaway bolna shuroo kar daalain .. heehhehe ..
Namaazi-tobaaaaaaa hay .. kesi kesi cheezain la rahay ho beech main jinka mera aur unn cheezon ka door door ka bhee wasta nahin hay hheheehehehe .. (kaan pakring and uthak bethak kariing) hehheehe
Parhaiz-gaar-aray? hehehehe .. kiss cheez ka parhaiz ye bhee to batao? lollllllzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz
Never frown, even when your are sad,because you never know who is falling in love with your smile.