Re: eid aayi hai baba..kafan bhej doh
apnay pyare huye zindagi se juda
jo bache wo huye her khushee se juda
nannhe munnhe huye mamta se juda
aur maaN apne lakht-e-jigar se juda
Jo kabhee sab kay lye rashk thay
ab wo aaNkhoN se behtay huye ashk haiN
In kee aaNkhoN maiN thoRa aman bhaij do
"Eid aayee hay baba kafan bhaij do!!"
Eid per ab gubara naheeN chahyey
Zindagee kaa sahara naheeN chahyey
Aazmaish dubara naheeN chahyey
Mujh ko abba kee unGlee pakarnay ko do
Mujh ko bhayya sa bhai jhagarnay ko do
Mujh ko ammaN see ammee lipatnay ko do
Kuch naheeN, na sahee, per Khuda kay lye
Mujh ko Eidi main do gaz kafan bhaij do!!
"Eid aayee hay baba kafan bhaij do!!"