so u havent been to cafe' in a while now
i have .. DIL KI nigah say log dekhtay hain to nazar aata hoon :p
[quote]
kahan masroof ho gaye thay
[/QUOTE]
toilet main toilet tank bar bar leak karta hay random times par, raat main teen chaar bajay ek dam say pani chalna shuroo ho jata hay tank ko fill karnay ke liyay ...
pehlay to samjha ke sotay ke time meray farishtay break lay kar jaatay hain bari bari .. (jab dekhta hoon light jala kar to seat neechay hoti hay properly, lekin koee ooper betha nahi dikhta) phir jab ek baar dekh ka betha hua hoon khud, aur handle ghumaanay say pehlay hee pani chalu ho kar tank bharnay laga to yaqeen aa giya ke LEAK kar raha tha..
bas tab say abhi panch minute pehlay ka time, main isi udhair-bunn main hoon (kis main hoon? UDHAIRH BUNN main) ke isko phir say tight karoon (water flapper ko) , clean karoon, ya home depot/canadian tire say ja kar poori internal fillup housing/flapper and chain change kar doon ..