Dubai k baasio [Merged]

Re: Dubai k baasio

G aya Nooooooon...

Khair naal aaaa, tay khair naaal jaaaaaaaaaaaaa....

Re: Dubai k baasio

Beat that ----> :mocking:

Re: Dubai k baasio

Just let us know where you're staying, aap ko pick karne ki zimadaari hamari

Re: Dubai k baasio

Wah Jee Wah Shaby Pai tussan bilkul theek likheya jey - Aey saray Wailay lokee nay - ina nun kam sham koi nai jey but har wailay Guppan Shappan mardey rainday nain.

BaasI Khaala :cb:

:Pagri:

Re: Dubai k baasio

Aap kay sense of tumor… oops I mean kay sense of humor ki daad dainy paray gi janab… Yahan subah say yeh waqt ho gaya hey bahgtay dourtay :frowning: Aaj to subah say donoun :chai: bilkul thandee-thaar mili hain :bummer:

Any way, as Usman bhai said, let us fix the date of 16th May 2006 and I will send pm’s / sms to all the guppies… Guppans ki baat hi rehnay dain… Agar yeh loug is martaba nahi aa’een na tou main samhjoun ga kay yeh loug Kabhi nahi aa’en gi :bailan:

Note for Sameer Bhai: Sub Dubai walon ko PM aap karain. SMS meray kharchay par hoga :smiley:

Kiyun zehmat kar rahi hain, rehnay dain - aap tou aaen gi nahi, Saby bhai “Tar-coal” ki sarak par hi chal kay aa jaen gay :stuck_out_tongue:

:waves:

Malik & Usman Bhai: You guys are the joint Organizers of this coming event… I’ll be the Coordinator, helping you guys…

Raheel Bhai; NaKhan Bhai… Please note the date and please keep this day free from any other appointments… You too Juni Bhai…!!!

Khawa-3: Yeh dawat-e-aam hey (Open invitation for all Girls / Ladies)

:desimunda:

Re: Dubai k baasio

Ayega…Mushkil nain aey :smiley:

Looking forward to c u in Dubai Saby.:slight_smile:

Re: Dubai k baasio

aray, ghar aaye mehmano ke saath yeh salook nahin kartay... Saby bhai ko dhol ki thaap aur bhangra daal ke khushamdeed kahain gay.

agar main meeting pe aa gaie to aap sub bhag jaien gay, islieye nahin aati :p

Re: Dubai k baasio

^ Tussi inne drownay O ?

Re: Dubai k baasio

yeh 5aanchvi meet hay is saal main :rolleyes:

Re: Dubai k baasio

Saby Dubai kaam say aa raha hey, NIKAH kay liya nahi aa raha hey :smack: jo ussay Dhol Shol aur Bhangra Shangray kay saath laya jaey… :mocking:

Aur aapkay meet par naa aanay ki wajah mujhay maloom hey - waisay aap dil laga kar parhaii karain aur apnay imtehaan ki tayyari karain :bailan: Aur haan zara net shet par bhi kum aaya jaya karain :smilestar: (Aap say 4 saal bara hun na iss liya doo haath laga diyey hain - mind nahi karna, Khala)

:desimunda:

Re: Dubai k baasio

Is maheenay ki teesri :mocking: meat :yummy: hogi yeh wali…

Aap bhi mauqa dain janab… :expressionless:

:desimunda:

Re: Dubai k baasio

aik hi baat hai Allah ne chaha to nikah bhi ho jaey ga :snooty:

:smack: haey meri kismat
baray boorhay bhi jawan ban’nay ki koshish main choti choti bachion ko KHALA banaey phirtay hain
Koi baat nahin
Dil kay behlanay ko Ghalib khayal acha hai
Aagar aap ko is tarha khushi milti hai to aisay hi sahi :teary1: :naraz:

Wah kia zabardast tukka lagaya hai, challo parhaie ka bahana bhi theek hai.. Next time yehi istemal karoon gi :smiley:

Re: Dubai k baasio

mainay to diya tha mauqa aap nahi aaye :barbie:

mushkil not inshaalah phir sahi :desimunda:

Re: Dubai k baasio

:eek: Choti Choti Bachi :eek:

Yeh tukka nahi lagaya hey :wink: aapko raah dikhai hey…
:eek: Next time bhi yehi tukka, shayed :nono1: chalay… :smiley:

Ok Sadaf, I hope to talk to you soon… :waves:

(Now I’ll call you only SADAF… ab tou khush ho na… )

Re: Dubai k baasio

Kush Amdeed Kush Amdeed Saby...

Chalain g Inshallah aap say mulaqat ho gi Jald hi, :)

Re: Dubai k baasio

Aya aye hamari bajjo ko kuch na kehna…

:teary1: Chaloo ab itni masoomiyat say daikh rahay hain to KUCH thora boht keh hi lain

Re: Dubai k baasio

Noted LR Bhai..

Allah karay office say jaldi farigh ho jaoooN :bummer:

Re: Dubai k baasio

Hor kuj howay na howay,
lakin puwaaan G, tuwanooo parh kay meri panja-b theek O jaway gi…:cb:

Re: Dubai k baasio

Aaapka hukm Sir-Aankhon par…:snooty:

Kia 16th of May ki date fix ho gai hai…
(Laikin buzurgo us din to Tuesday hai… How we’ll arrange)
Attendance poori hona mushkil hai…

Is’nt it possible to arrange it on week-end…

Re: Dubai k baasio

Aray Ranger bhai ab rehnay bhi dejiey…
hum say accha to mashriq hai (I mean Karachi),
kehnay ko to ek advanced city main baithay hain…
laikin yahaan ki khawa-3 bohut hi parday-daaaaaaar hain…

Haaan ek idea hai meray paas::blush:
Agar dubai ki Guppan parday-daar hain to woh topi wali burqa pehan kar aa-sakti hain, we’ll not have any objection…:snooty: