Re: Dramataic Dialogs
ayee-bhishmumaaaaaa
yeee mukka, mairee behen ki bayizaati k leyee
ayee-bhishmumaaaaaa
yee mukka, mairee maa kee bayizzati k leyee
ayee-bhishmumaaaaaa
yee mukka mairee baap kee maut k leyee (hello?? baizatti ka bhi eik mukka, aur maut ka bhi eik? nainsafi)
ayee-bhishmumaaaaaa
aur yee mukka..... (audiance ko hasaney k leyee)
Re: Dramataic Dialogs
TLK:
Nuch ve kuriye:coolios:
Waisay one thing that always baffled me. When the villain could easily sexually assault the captive heroine, what pleasure was he getting in making her dance instead, especially when the song she is singing is full of galiyaan and dhamkiyan
*
‘O kuttay kaminay
jab mera mehboob aa’ye gaa
to tera qeema banaa’ye gaa
aray Oooooo
kuttay kaminay’*
that smiley reminds me of Basanti.
Re: Dramataic Dialogs
Jis ne apnee ma ka dhood peeya hain wo ajaye medaan main! Saab ko zameendoz kardoonga :faris:
Re: Dramataic Dialogs
sub Similac waley hain …sub bhag leyee
in mustundoon ki body sai pata nahi chalta formula pe pe ker phoool gaeey hain
Re: Dramataic Dialogs
Sach kaha merey dost.
Arey badmaash yeh meree Botle main Sharab naheen hain pagal… yeh Lemonade hain Lemonade…
Re: Dramataic Dialogs
pehlay phone number tou do
BHAHAHAHAHAHHA
Re: Dramataic Dialogs
Hahahaha
OH Jageerdaraa Oh Jageerdara! Kuch naheen udhar dekh
Re: Dramataic Dialogs
"sardar main nay aap ka namak khaya hai"
Niksik
April 1, 2011, 8:24pm
70
Re: Dramataic Dialogs
Is liye tumhra blood pressure high rehta hai…kuch ziada hi namak kha liya :hmm:
Shak
April 1, 2011, 8:27pm
71
Re: Dramataic Dialogs
ye shak09 sab se azeem insaan hai
Re: Dramataic Dialogs
"sardar main nay aap ka namak khaya hai"
To ab Goli bhi Kha le ..
Re: Dramataic Dialogs
ye shak09 sab se azeem insaan hai
haan haan haan dunya ko tu yee hee maloon hai. shak09 k mazi sai tu srif main ba-khabar hoon.
Re: Dramataic Dialogs
Mera zaakhmon main khoon lana aye hoon…
Safeer menay thumhara saab kuch sunleeya aab mera faisla thum suno… jaow apnaay Badshah ko mera hokoom dedo ke agar wo merey bhai ko zindan se kal subah azad naheen karegah… tho Ba khuda main Delhi tak be ajaowgan aur khuda ke fazal se is dunya main koy takat naheen jo Mera rastaa rokey… agar merey bhai ko kuch hoowa tho Delhi kee ik ik eeet judah karkeh us be-izat Badshah ka zindan banadoongah!
Jaaaow!
Salaar Dholatyaar khan fauj ko hukum de do ke hum kal Agra se Delhi kilyeh subah chalpariengay!
Re: Dramataic Dialogs
baOOO-jee sheher gaeey hain, wakeel UNKUL k pass, shaam tak LAUT aeen gaai
(shabash basantee SUB BATA doo ....takey yee darinda sham sai pehley aa ker tumhare izzaaat khaak main mila dai)
Niksik
April 1, 2011, 8:31pm
76
Re: Dramataic Dialogs
(about Shak) yeh shaks jo apney aap ko azeem kehta hai asal mein awara badmaash hai jis ney mohalley ki larkion key dil sey khela hai...jaisey chotay bachay gaindh uchaal uchaal key kehltey hain.
Sohaib
April 1, 2011, 8:32pm
77
Re: Dramataic Dialogs
tum meri nazro se humesha humesha k liye duur ho jao. kiss munh se mujh se maafi maang rahay ho? yeh maafi tub kahan thi jub mere jazbaat ka istimaal kiya thha tumne?
Re: Dramataic Dialogs
Jaaaiiii!
Ghabaar main ahraah hoon!
Aab chun chun ke maroonga chun chun ke!
( Becharay ko main G8 dedeta lekin ye ullu chun chun ke marayga... pagal ik hee salvo dein G8 ka aur dusree film karlo)
Re: Dramataic Dialogs
Yeh baal maine dhoop mein Kaale nahi kiye hain
Niksik
April 1, 2011, 8:34pm
80
Re: Dramataic Dialogs
Aap Dabur ka brhami amla kesh tayl istamal karein..