Does Friendship...

Asal main dosti waqt kay saath change to naheen honi chahyay kioon kay dosti hai hi aisi cheez.

Agar change hoti bhi hai to ussay aur mazboot aur ziada bahtar hona chahyay laikin haqeeqatun aisa naheen hota.

Aksaar kuch na chaqion, shukoun, baton ya halat ki wajah say dosti change ho jati hai. Dosti agar gahri ho aur dost samajhdar ho to farq parnay walay maamlaat main bhi achcha dost farq naheen parnay deta.

Jo sirf saathi hotain hai unko farq par jata hai kisi bhi baat ka ya choti si baat ka bhi laikin achchay aur mohabbat karnay walay doston ko jaldi farq naheen parta.

Suchchay muskhlis aur mohabbat karnay walay doston ki dosti main farq naheen parta.

Laikin matlabi, khudgharz sathi ki dost main waqt kay saath saath farq parta jata hai ya kisi wajah say bhi farq par sakta hai ya mamooli si baat bhi.

Hamain yay farq samajhna chahyay kon hamara dost hai aur kon sathi.