Re: Do you know this poem?
its a ghazal.....
koi mausam ho dil mein hai tumhari yaad ka mausam
ke badla he nahi janaan tumhari yaad ka mausam
nahi tu azma kar dekh lo kesay badalta hai.....
tumharay muskaranay se dil-e-nashaad ka mausam
sadaa teshay se jo nikli dil-e-nashaad se uthee
chaman khusro ka tha lekin raha farhaad ka mausam
parindon ki zubaan badli kahin se dhunday to kabhi
nayi tarz-e-fughaan ae dil ke hai eejaad ka mausam
rutton ka qaida hai ke waq pe aati jati hain....
hamaray sheher mein kyu ruk gaya faryaad ka mausam
kahin se us haseen awaz ki khushbu pukaray gi
tu is ke sath badlay ga dil-e-barbaad ka mausam
qafas ke baam-o-dar mein roshni si aati jati hai
chaman mein aa gaya shayid lab-e-azad ka mausam
na koi gham hai khizaan ka na khwahish hai baharon ki
hamaray sath hai amjad kisi ki yaad ka mausam