Re: Distance in Relationships
Rishta ya talluq koi bhi ho agar hum mohabbat bhi kartay hain aur ahmiaat bhi detay hain to distance say koi farq naheen parta.
Albatta distance honay pay samajh ziada aa sakta hai hamari mohabbat ka is tarha jub hum phone kartay hain itnay paisay laga kar ya tohfay bhaijtay hain to unka lugta hai khaas kar doston ko kay dikho hum say itni mohabbat hai kay purdais ya door ja kar bhi hamain bhool/bhooli naheen aur hamain phone ya kisi aur talluq say yaad karti hai.
Distance hamari mohabbat ka ahsaas ziada dila sakta hai qurbat ki nisbat.