yar itnay baday hogaey ho ... aur abhi tak dimagh ki dahi ka nahi pata kasiay banti hai ... shame on u ... kher main bata ta hon dimagh ki dahi banana ... laikin behtar ho ga pehlay doodh ki dahi bana seekh lo ... pher asani rahay gi dimagh ki dahi banannay main ... wesay is kam kay liye sab say zaroori cheez dimagh hai .. aur woh shayd tumharay pas hai hi nahi ... kher maray pas hai tum fikar na akro ... ab jaldi say kaghaz qalam sanbhal lo .. main receipe batanay chala hon... kya ???.... dahi ban chuki dimagh ki ...:) han jitna diagh tha tumharay pas utnay ki dahi itnay time main ban hi jana chaye thi ... ok then take care till next session of dahi making ... tata . bye bye ... Allah Hafiz
aur haan dahi ko kuch der taza hawa main rakhna warnah khati ho jaye gi :)
Faraz Bhai, please do a re-cap of that session(jaise aam cooking shows mein hota hai) with ingredients and instructions , aap ki tarqeeb mujhe kuch samajh mein nahi ayee
Jaise cooking show mein ‘aik dum se tayar’ ho jaatein hein dishes waise hi meri dimagh ki dahi tayar ho gayee, BTW han jitna taiz (fast) diamgh hai meray paas utnay ki dahi itnay time main ban hi gayee thi…
acha aur kya kay maloom hota hai woh sab pM kar dena ... main chala dahi jamanay ... oh sorry i mean sonay chala ... good night shab bakher Allah Hafiz