Re: Dil Hijr Kay Dard Say Bhojhal Hai.......
yeh Ghazal aapne jo pesh kii hai vo mujhe ma'loom nahiiN k kis shaa'ir kii hai magar mere nazdeek yeh Khaasii mazHaqa-Khez hai kiuN k yeh Ghazal chuN chuN kaa murabba ban gai hai...maanaa k urdu shaa'iri meN Hindi ke alfaaz kaa iste'maal hotaa hai magar vo alfaaz aam bol chaal ke hote haiN. is Ghazal meN Hindi ke al;faaz kasrat se musta'mil huye haiN jo 'aam fehm nahiiN haiN so is Ghazal ko urdu kii Ghazal kahna Ghair munaasib hogaa. its more like tuk-bandi :)