Difference B/W You and Me

Re: Difference B/W You and Me

OMG:

aap Azhar minush shams baatoN kaa dankaY kee choT par naaqaar khaanaY maiN totee kee tarah bhaandaa kiouN phoRtee rehti haiN?

Re: Difference B/W You and Me

lagtaa hai aap kaY peroN talaY saY zameen hee nikal gaYee hai :what:

Re: Difference B/W You and Me

Urdu zaroor bolain magar likhaie bhi urdu hi ho to acha hai

Re: Difference B/W You and Me


angraizee paRh lee hotee tau aaj yeh din (bulkaY raat) dekhnaa naseeb naheeN hota (hoti)

Re: Difference B/W You and Me

Dada ji ne kaha tha ke,

Mera noor-e-baseerat aam kar day

aur

Dekha hai jo kuchh menay
Auroon ko bhi dikhla day

aur

Bareeq hai fitrat ka hijab itna
Ke farishtoon ke tabasum-e-nehani hain namoodar

Re: Difference B/W You and Me

Islam kaa peghaam hai Iqbal kaa Peghaam
Iqbal kaa peghaam zamaanaY ko suna dau

:jhanda:

Re: Difference B/W You and Me

Sadaf ji,

Apni zaban Urdu
Qaumi zaban Urdu
Ham sab ka naaz hai too
Peyari zaban Urdu

(Sohail Rana ka aik geet.:p )

Re: Difference B/W You and Me

Agarche but hain jamat ki aasteenoo mein
Mujhay hai hukm-e-azan, La ilaha il-lallah.

Ye daor apnay Barhim ki talash mein hai
Sanam kada hai jahan, La ilaha il-lallah.

Re: Difference B/W You and Me

Yeh Maal-O-Daulat-e-Duniya, yeh Rishta-O-pewand
Butaan-e-wehm-O-gumaaN, La Ilaha Il Allah

Re: Difference B/W You and Me

Butaan-e-rang-o-khoon ko tor kar milat mein gum hoja
Na Toorani rahay baqi, na Irani na Afghani

Duniya ke taza khudaaon mein, neya ek Watan hai
Jo perahan hai iska, woh millat ka kafan hai.

Re: Difference B/W You and Me

kuch ghalat ho gaya:

poori nazm paRh kar saheeh shair aur matan kaa andaaza ho jaaYe gaa:

*Iss daur main, may aur hay, jaaam aur hay, jamm aur
Saaqi nay binaa kee ravish-e-lutf-O-sitam aur

Muslim nay bhee taa’meer kia apna haram aur
Tehzeeb kay Aazar nay tarashwaaey sanam aur

**Inn Taazaa khudaaoun main barraa subb say watan hay
Jo Perhan iss kaa hay woh mazhab ka kafan hay
**
Yeh bu’t kay taraasheedaa-e-tehzeeb-e-navi hay
Ghaarat gar-e-kaashaana-e-deen-e-nabavi:saw: hay

Baazu tera Tawheed kee quwwat say qawi hay
Islam tera des hay, tu Mustafwi hay

Nazzaara-e-Daireena zamaanay ko dikhaa day
Aey Mustafwi khaak main iss bu’t ko millaa day

Ho qaid-e-muqaami tau nateeja hay tabaahi
Reh beh’r main aazaad-e-watan soorat-e-maahi

Hay tark-e-watan sunnat-e-Mehboob-e-Ilaahie (S.A.W)
Day tu bhee Nabuwat kee sadaaqat pay gawaahi

Guftaar-e-siyaasat main watan aur hee kuch hay
Irshaad-e-Nubuwat main watan aur hee kuch hay

Aqwaam-e-jahaan main hay raqaabat tau issi say
Taskheer hay maqsood-e-tijaarat tau issi say

Khaali hay sadaaqat say siyaasat tau issi say
Kamzour ka ghar hota hay ghaarat tau issi say

Aqwaam main makhlooq-e-Khuda batt-tee hay iss say
Qoumiyat-e-Islam kee jarr katt-tee hay iss say*

Re: Difference B/W You and Me

O Good oye.:k: Ye aap ko puri yaad thi? WOW. Aap se baat kar ke khushi howi. Main nay to pehlay hi kaha tha ke main Shairi mein Jahil hoon. Meri mazrat qubool kar lijiye ga.:stuck_out_tongue:

Re: Difference B/W You and Me

flodding kis terah topic ka rung badalte hay ajj maloom hoa

akhre page tuk atay atay mere zyahan deawan-e-iqbal reh gya or Is ka topic theme he bhool gaya

Re: Difference B/W You and Me

AQ aur meri flooding aisi hi hoti hai. Masoom si.

Re: Difference B/W You and Me

haven;t lost me brother :slight_smile: