all that is very easy to say before u get married id love to hear u say da same thing after u get married .... i use to say id hate being married and now i love it so id love to hear u say all dat after u get married
Insha Allah.
I'll play like boy friend with her for sure. I will sing for her. I'll say what b/f say in films and do everthing. Aur jub ghussa aay ga to jootay bhi lagaoon ga aur ghair islami kaam kia to.
Wife ko itna bhi desperate naheen hona chahyay kay jaan ko bhi khatray main daal day phone office ponhach kar karna chahyay gari main naheen is liaay kay bluetooth honay say kia huwa mind kisi lamhay bhi distract huwa to khuda na khuwaasta koi hadsa ho sakta hai.
As a wife husband ki safety ka bhi khiaal rakhna chahyay angel dear.
FBI aisi situation main kay aap kay paas koi rasta na ho to wife ko aap per itna to aitabar hona chahyay kay wo is qadar desperate na ho kay bartan toray.
Sabr say kaam lena chahyay aur salamti ki dua karna chahyay husband kay liaay.
Husband ko bhi jub mauqa milay forun kaheen say phone kar day aur situation explain kar day.
Is kay ilawa samjha day kay kisi wajah say dair ho sakti hai iska mutlub yay naheen kay main maujaan kar raha hota hoon kisi kay saath balkay kaam main busy hota hoon.
Pehlay hi samjha day kay kabhi phone ya message na kar sakoon to is ka matlub yay ho ga kay kaam main busy tha ya time naheen mila ya susti ya kahili main naheen kia.
Agar mobile ho to test tayyar rakhain Predefined main kay I'm busy call you latter. It will take less time.
Wife ko aik baar aap yaqeen dila dain kay aap koi ghalat kaam naheen kartay ya kar saktay hain busy honay ki wajah say ya susti o kahili say contact na karon to iska matlub yay naheen kay shak kia jaay.
Wife ko deal karna bohat asan hai laikin her mard/larka naheen samajh sakta. Aik baar yaqeen dilanay ki baat hai phir wo sari zindagi is yaqeen kay saharay guzar lay gi. Haan thori si mohabbat ka izhar bhi waqfay waqfay say bus itna hi kafi hai usko ULLU bananain kay liaay ya RAAM karnay kay liaay.