Re: desi kids rhymes
dus pattay torayn gay
ek patta katcha
hiran ka bacha
hiran gya pani may
pakro uski nani ko
nani gyee jail may
hum gaye rail may
rail may khaye biscuit
biscuit baray kharab
hum ne parhi kitab
kitab bahut achi
hum ne khayee machli
machli se nikla kaanta
ammi ne maara chaanta
chaantay se khoon
kar do telephoooon
telephone ki ghanti nahin
hum tumhari aunty nahin
aunty ko bulao
rickshay may bithao
rickshay ka pahiyya(wheel) nahin
hum tumharay bhaiyaa nahin
bhaiyya ko bulaao
chirya ghar lay jaao
chirya ghar may hathi nahin
hum tumhaaray saathi nahin
wow I remember it ALL ![]()