DeRh Hoshiyaar... Sawaa Ser

Re: DeRh Hoshiyaar… Sawaa Ser

wowwwwwwwwwww!!!

ab kal sunuuNgaa “more ghus gayo raat jhoNpaRiya meN” by Syra Bano! must be a lot of Thmka there :wink: :cb:

Re: DeRh Hoshiyaar… Sawaa Ser

12 bore to nahiiN haN ‘Rifle’, ‘kaTTo aur ’ kaTaarii’ kahaa hai! :smiley:

Re: DeRh Hoshiyaar… Sawaa Ser

Cham Cham Baduaa Ratan Pahaadi :eek:

Samdhi Dekho Bankaa Niraala Hai :eek: :eek:

Samdhi ko line maari ja rahi hai

Re: DeRh Hoshiyaar... Sawaa Ser

uske baad aapke paon to bhari nahin ho age the.. I mean Manno bhari......

waise kiya Murde ke ooper manno matti dalti hai?

Re: DeRh Hoshiyaar... Sawaa Ser

sola aane sachi baat kehna...

BTW, kiya her country ke 1 rupiye main sola aane hote hain?

Re: DeRh Hoshiyaar… Sawaa Ser

really? samdhii ko gaaliyaaN dete dete line maarii jaane lagii…waah…hahaha

paauuN bhaarii? hahahaha…ab zamaana badal rahaa hai…kuchh ba’eed nahiiN k feminist aisaa kuchh bhii karvaa DaaleN…hehe

kabhii weigh nahiiN kiyaa magar manoN miTTii to hotii hii hogii…vaise, jab insaan mar gayaa to uske oopar man miTTii paRe yaa savaa man…kia farq paRtaa hai.

vaise, aapne kabhii dekhaa yaa sunaa k kisii kii laash saaloN ke ba’d kisii vajah se intact nikli ho?

mere gaaoN meN ek mo’azzin the jinkaa laash qabr meN paanii chale jaane se barsoN ba’d nikal paRii thii aur log kahte haiN k unkii body fully preserved thii…wallaho’aalam bissawaab.

vaise, sunaa hai k mo’azzin kii laash qabr meN Kharaab nahiiN hotii…:hmmm:

Re: DeRh Hoshiyaar… Sawaa Ser

suna to hai taaza lash ke boht se qisse per, dekha nahin…

waise ek lady ka farmaan hai: aurat main pain bear ki taqat mard se ziada hoti hai… do you agree?

Re: DeRh Hoshiyaar... Sawaa Ser


achchhaa...

...bilogically, it's not proven either way because i don't think any studies were done on this 'myth'.

it could be possible bacause nature/Allah prepares them for delivering babies so they might endure higher/severe pains.

Re: DeRh Hoshiyaar... Sawaa Ser

that lady also said this. mard ek dafa aulad jan le to ta-umr toba kar le

Re: DeRh Hoshiyaar... Sawaa Ser


baat to sach hai magar baat hai rusvaaii kii [for men] haha

Re: DeRh Hoshiyaar... Sawaa Ser

teen main na terah main? kiya matlab hai iska?

Re: DeRh Hoshiyaar... Sawaa Ser


kisii gintii meN na honaa, insignificant, ordinary person, someone with below average socio-economic status.

Re: DeRh Hoshiyaar... Sawaa Ser

lols hamari 7/8 class ki salees urdu main tha: Quiad e Azam , Kam gau Kam aamez the... teacher ko bhi pata nahin tha iss salees phrase ka kiya matlab hai

Re: DeRh Hoshiyaar… Sawaa Ser

lolz achchhaa…to, teacher aise mavaaq’e par aksar zaheen aur tez student se poochhte haiN…“kaun bataayegaa is moHaavare kaa matlab?” :hehe:

Re: DeRh Hoshiyaar… Sawaa Ser

zara haroof tajahi k hisab sey naam likh dia karein :smiley:

  • Takay takkay kay loog
  • ninaway kay phir mein
  • sair oper sey sawa sair

#jasos_IQ_-10](http://www.paklinks.com/gs/usertag.php?do=list&action=hash&hash=jasos_IQ_-10)

Re: DeRh Hoshiyaar… Sawaa Ser

Yuk nah shud Do shud :cobra:

#jasos_correctoin_karwatay_hoye](http://www.paklinks.com/gs/usertag.php?do=list&action=hash&hash=jasos_correctoin_karwatay_hoye)

Re: DeRh Hoshiyaar… Sawaa Ser

yeh Farsi kaa version hai jaise "der aayad, durust aayad’ kaa Urdu version “der aaye, durust aaye” hai. :smiley:

Re: DeRh Hoshiyaar… Sawaa Ser

sau choohay kha ke Billi Hajj ko chali… feel free to apply on any political personality :smiley:

Re: DeRh Hoshiyaar... Sawaa Ser

lol...siyaasatdaanoN ke aur bhii kaarnaame haiN. :)

-do pal
-do do haath [small argumentation]
-ek ek kar ke [serially]
-ek se baRh kar ek [umda, nafees]
-ek ke oopar ek chaRhaa honaa [rushing crowd]
-ek hii chaTTe ke baTTe honaa [being an accomplice]
-ikahraa [single file]
-dohraa honaa [moTaa honaa, haN haN ke buraa Haal karnaa]
-do chaar [few]

ab aap 2, 3, 4...ke saath aise numbarii moHaavaraat raqam kareN. :)

Re: DeRh Hoshiyaar… Sawaa Ser

Is ko urdu mein bhi iss he tarah bola jata hey uncle :cobra: