Dedication for Ms Bhutto

Re: Dedication for Ms Bhutto

tujko kitnoN ka lahuu chaahiye aey arz-e-watan
jo tere aariz-e-berang ko gulnaar karein
kitni aahon se kaleja tera thanda hoga
kitnay aansu tere sehraaon ko gulzaar karein

tere aewaanon mein purzay huay paymaaN kitnay
kitnay waaday jo na aasuda-e-iqraar huay
kitni aankhon ko nazar khaa gaee bad-khwaahon ki
khwaab kitnay teri shahraahon mein sangsaar huay

bala kushaan-e-muhabbat pay jo hua so hua
jo muj pay guzri, mat us se kaho, hua so hua
mubaada ho koi zaalim tera girebaaN-geer
lahuu k daag to daaman se dho, hua so hua

hum to majboor-e-wafa hein magar aey jaan-e-jahaN
apnay ushhaaq se aesay bhi koi karta hai?
teri mehfil ko khuda rakhay abad tak qaaim
hum to mehmaN hein ghari bhar k, hamara kya hai