Dedicate a song for the person above

**
janaab e aali…aap kiskii baat kar rahe haiN? kia ramadhan ke ba’d yeh sab OK hai? kia threads meN laRkiyoN ko aur laRkiyoN ke saath khullam khullaa foHash mauzoo’aat par foHshiyaatii guftugu aur us par tabaadila-e-Khayaalaat karnaa islaam meN jaaiz hai? kia be_hayaaii ok hai?

maiN baHs nahiiN kartaa kabhi bhi magar itnaa kahnaa maiN ne zaroori samjhaa is liye kah diyaa…har kisi ko apne aamaal kaa jawaab denaa hogaa. bas baaqii Allah behtar jaannewaalaa hai.** maiN is par mazeed guftugu nahiiN karuuNgaa, insha Allah. har kisi ko apna Khud kaa iHtisaab karnaa chahaiye aur dusroN kaa muHaasiba karne se pahle har shaKhs ko apne girebaan meN jhaanknaa chahaiye. Allah ham sab ko taufeeq aur hidaayat de k ham siraat-ul-mustaqeem par chal sakeN…aameen