Re: Dala hai beKhudi ne ajab raah par mujhe
yes…Ghalib ne Zafar kii ek Ghazal kii tazmeen kii thii…and, i LOVE it!..![]()
Khamsa-e-Ghalib bar Ghazal Bahadur Shah “Zafar”…is meN 11 band haiN…har band ke pahle teen misr’e Ghalib ke haiN jab k aaKhirii do misr’e [ba-soorat-e-she’r] Zafar kii Ghazal ke haiN…zabardast paiwand-kaarii hai…seamless, indeed! tameez-e-baKhiya-kaarii naa mumkin hai. maiN ek band raqam kar rahaa huN…baaqiya iA aajkal meN.
Enjoy!
**
ghiste ghiste paauuN meN zanjeer aadhii rah gaii
mar gaye par qabr kii ta’meer aadhii rah gaii
sab hii paRhtaa, kaash! kiuN takbeer aadhii rah gaii?
…khiNch ke, qaatil! jab tirii shamsheer aadhii rah gaii
…Gham se jaan-e-'aashiq-e-dil_geer aadhii rah gaii!**