Re: Congrats Anwaar Qureshi
AQ ji, dar asal main poetry forum pardhti to hoon, post naheen karti kiyon ke shairi kar naheen sakti. Sharmindagi hoti hai keh agar kisi ne pooch liya keh, OMG, are you really a relative of Allama Iqbal? to main keya karoon gi.![]()
Keya sochain gay sab keh title Bint-e-Iqbal hai aur shair kehna ata naheen. ![]()
Kash ham bhi pardhay likhay hotay.
Ham jahil hain aur is liye sirf pardh kar dil hi dil mein admire kartay hain, kehtay naheen. Haan, yahan batanay ka maqsad yeh hai keh jo log shair naheen hain unhain bhi aap ke johar ka pata lagay ke aap kitnay talented hain.![]()
Thanks Dada Abba. You are always so nice.
PS: AQ, ab main ja kar us thread mein reply karnay lagi hoon. Allah karay kisi ko mera title nazar na aye. Ameen.