Re: chehra
[quote=tahreem saeed]
yun naqash hoa aankh ki putli pey woh chehra phir hum ney umer bher kisi our ki surat na dekhi
tujh sey miley naa they tu koi aarzoo na thi dekha tujhey to terey talabgaar hogaye
wohi mehsoos kartey hain khalsh dard_e_mohabbat ki jo apney sey bhar kar kisi sey pyar kartey hain
tujh sey karti hoon mulaaqaat sematney key leye tujh sey milti hoon tu kuch our bikher jati hoon
[quote=lutfullah aka Abdullateef Qadri]
Yun to auron ki kahi hui baat bataur namuna pesh sirf kisi lafz ya fiqre ki misaal pe ho to achhi lagti hai. Bataur intakhaab jab pesh ki jaae to naql karne mein ghalati hargiz naheen honi chaahiye. Bibi Tahreem Saeed ne pehle hi sher ki gardan maror di hai! Misra e saani misra e awwal ka hamwazan qatai naheen hai. Sher yun durust utarta:- "Yun naqsh hua aankh ki putli pey woh chehra! Phir hum ne umr bhar kisi soorat ko na dekhi! Ya:- Phir hum ne umar bhar koi soorat naheen dekhi!" Yahan Bibi Tahreem ne "Kisi aur surat" yaane darmayaan mein lafz "aur" daal kar aur "soorat ko na dekhi" mein se "ko" ko baahar nikaalkar sher ki rooh fanaa kar di hai! Inna Lillahi Wa Inna Ialaihi Raajioon! Shukriya!:)
thanks alot