This is in context of Bangladesh fall (71), its pretty much applicable even today.
Jaag meray Punjab ke Pakistan chala..
Toot chalay sab khuwab ke pakistan chala..
Sindh, Balochistan tu kab se rotay hain..
Aur ahal-e-Punjab abhi tak sotay hian..
Aankhain hain pur-aab ke pakistan chala..
Jaag meray Punjab ke Pakistan chala..
Jin ko Zaat ka gham hai wo kab manay hain..
Be-bas loogon par bandooqain taanay hain..
Qatil hain asbaab ke Pakistan chala..
Jaag meray Punjab ke Pakistan chala..
Aag ki barish hai, gulshan dhuwan dhuwan..
Rawish rawish aab kaliyon ki mahkaar kahan..
Sapnay huy Ghulaab ke Pakistan chala..
Jaag meray punjab ke Pakistan chala..
Zu’am hai ye balwanoon ko ke hum jeetain gain..
Aur kahoon main ye ke dukh ke din beetain gay..
Jam hue zahar aab ke Pakistan chala..
Jaag meray Punjab ke Pakistan chala..
Afsurda ghazlain, farsuda afsanay hain..
Had nazar tak phailay hue wiranay hain..
Darya hue sairab ke Pakistan chala..
Jaag meray punjab ke Pakistan chala..
Inhi chalan se hum se juda Bengal hua..
Pooch na is dukh se jo dil ka haal hua..
Roko ye sailab ke Pakistan chala..
Jaag meray Punjab ke Pakistan chala..