Chalo buchhoo Urdu Urdu khailtey hain ...

Re: Chalo buchhoo Urdu Urdu khailtey hain …

Mein yehi koi dopeher ko neend se bedaar hua. Choonkay naashtay ka waqt nikal chuka tha, mein ne dopeher ka khana khana munaasib samjha. Us ke baad naha dho ke mein duniya ke kamon mein masroof ho gaya. Kuchh bazaar se soda salaf khareeda. Kuchh khirkiyaan khareedeen (window shopping). Bas phir us ke baad Tim Hortons se aik barfaani topi (ice cap) pee ke abhi thori der pehlay ghar pohoncha hoon. :slight_smile:

Re: Chalo buchhoo Urdu Urdu khailtey hain …

Tum DC mein ho aur mein NY mein,…Kaash tum nazdeek hoti,…phir mein apnee chhottee see behen ko zaroor sikhatta,…

Re: Chalo buchhoo Urdu Urdu khailtey hain …

Chalo theek hai. Meraa dinn bohat burra GUZRAA hai. Kull mujay school jaana purraiy ga :bummer:

Re: Chalo buchhoo Urdu Urdu khailtey hain …

Tao madrassay jaanay mein kya kabahat hai ?

Re: Chalo buchhoo Urdu Urdu khailtey hain …

madrassay jaanaY maiN Qabahat yeh hai kay wahaaN paRhnaa paRay gaa :bummer:

Re: Chalo buchhoo Urdu Urdu khailtey hain …

:bummer: :konfused:

Acha. Kul menay bhe shopping kee thee. Laiken khirkiyaan shopping nahi. Menay paisay KHURCH ( :confused: ) keyai thai :devil:. Menai jootai mungwaiy hain aur sunglasses. :hula:

Re: Chalo buchhoo Urdu Urdu khailtey hain …

Madrassay jaanai ka mutlab hotaa hai kai kaam millay gaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa :bummer:

Re: Chalo buchhoo Urdu Urdu khailtey hain …

:slight_smile: Thanks. That meant a lot :slight_smile: :hug:

Re: Chalo buchhoo Urdu Urdu khailtey hain …

Jooton ki baat tao samajh mein aati hai. Ye shamsi chashmay kis chakkar mein mangwaye hain. Aur kis se mangwaye hain ?

Re: Chalo buchhoo Urdu Urdu khailtey hain …

muhtaram bhaiyyon aur aap sab kee behnon ko wazeer e sehat ka salaam :wave:

Re: Chalo buchhoo Urdu Urdu khailtey hain …

Welcome,

I meant every word of it. Well, Phir bee hazir hoon,…NP

Re: Chalo buchhoo Urdu Urdu khailtey hain …

Aap ko wazeer-e-sehat kis bina pe kaha jaata hai ? Kya aap kaafi dublay patlay waqay huay hain ?

Re: Chalo buchhoo Urdu Urdu khailtey hain …

Ok you guys. Fati abh jaari hai. Allah Hafiz. Zinda raho :wave:

Re: Chalo buchhoo Urdu Urdu khailtey hain …

Take Care