Re: Chakker
Yeh tou Islam/Musalman dushmanoo ki azal sey hi policy rahi hey… Woh loag yeh jaantay hain kay ISLAM ko khatam nahi kiya jaa sakta issi liya unhoun ney Musalmanoun par working shuru ki huwi hey - aur un ki policy yehi hey kay agar Islam ko khatam nahi karsaktay laikin MUSALMAANOO ko Musalmaan na rehney diya jaey… Issi theme par woh kaam kar rahay hain aur hum logon main tafraqa daal rahey hain… Afsoos - sad Afsoos, hum log apney hi haathoun apney hi dushmanoun kay haath-paoon mazboot kar rahay hain…
Agar har shakhs Infiradi taur par yeh baat samajh ley aur apney aap ko in tamam taa’ssub aur tafreeq sey bacha kar rakhay tou dushmanou ki chaal kamiyab nahi ho sakti…
ALLAH :swt: hum sub ko Hidayat dey aur Sirat-e-Mustaqeem par chalney ki taufeeq ata farmaey (Aameen summa Aameen) ![]()