Re: Chakker
I agree with you kuch afraad Islam aur musalmaanon ko baatnay main lagay huwaay hain. Takleefda baat yay hai kay humaray apnay yani musalmaan bhi kafiron ki tarha is kaam main masroof hain.
Hamain in tafreeqon say buchna chahyay.
Sirf musalman rehna chahyay. Muslims main zameen ki bina par ya kisi bhi aur bina par quran main kaheen tazkira naheen hai.
Per yay taasubbi log aisa her jagah kartay rahtain hain aur is bhair’ chaal main phir sub shamil ho jaatain hain.