[thumb=D]18824_wallpaper280.JPG[/thumb]
[thumb=D]post-27-14997-post_27_02819_Abshaar___Yaadain.JPG[/thumb]
[thumb=D]poetry30.JPG[/thumb]
beet gaya sawan ka meenh, mausam ne nazren badleen
lakin in pyasi ankhon se, ab takk ansu behttey hein....
Jab bhi aaya woh koi daastan choor gayya
Kia kahon har bar hi mujhay tu hairan choor gayya
Main janta na tha muhabbat ki zubaan wurna
Woh tu har lafz main chahat ka nishan choor gayya
Dunia ki koi khushi na raas aa saki jissay
Dunia kay leiy woh khushyon ka jahan choor gayya
Koi yeh na pochay mujh say woh kaon hai kahan hai
Koi yeh battay keh woh mujh ko kahan choor gayya
Ussay samajhnay kay leiy mujhay sadyyan lagain shayyad
Woh kuch iss tarha say appni pehchaan choor gayya
Abb ki dafaa Munir woh bijhra kuch iss adaa say
Har aik haqiqat pay khaboon ka gumaan choor gayya
[thumb=D]poetry21.JPG[/thumb]
[thumb=D]poetry20.JPG[/thumb]
[thumb=D]saasar_040.JPG[/thumb]
[thumb=D]saasar_041.JPG[/thumb]
Yaadoon ki jarrain phoot hi parti hain kaheen se
Dil sookh bhi jaata hai tau banjar nahee hota...
Dil tau sunsaan hai veeraan saaye ki tarah
Tum magar saath hi rehna mere saaye ki tarah
Main ne maujoon se ulhajjatay huwe jeena seekha
Kyo nazar aa gaye tum aaj kinare ki tarah
Tum ke manzil pe ho abaad raho shaad raho
Main tau gardish main hoon qismat ke sitaray ki tarah
Tum qaraar-e-dil-o-jaan ho tu mere saath raho
Doobne waale ko tinkay ke sahaaray ki tarah
Ay Khuda us ko balaaoon se bachaaye rakhna
Main ne chaaha hai ussay jaan se pyare ki tarah...
mumkin nahi iss tarah se guzara----usse kehna
sau baar tumhain hum ne pukara-----usse kehna
hoon main bhi musafir kuch din ke liye aur;
kiyun tum ne kia pehle kinara---usse kehna
mill jayen ge tum ko bohat aur saharey
mere tau bas tum thay sahara---usse kehna
pehli mulaaqaat
kya tum se meri
pehli mulaaqaat thi jaanaa?
woh aadam-o-hawwa jo miley
hum na miley they
yaqoob k betey se
zulekha jo milit thi
farhaad k teshey mein
jo sheereen ki lagan thi
aur qais k seeney mein
jo laila thi dharrakti
aur wamq-o-azrah ka
mohabbat se bhara dil
aur heer ki raanjhey se
mulaaqaat thi kis ki
aur shyaam ki bansi mein
jo nagmaat ki leh thi
tum gor karo
tum se mulaaqaat ki leh thi
tum socho!
tou hum log azal se hi miley they
har ek janm
apni mohabbat ka zamaana
phir gor karo
soch k andaaz ko badlo
kya tum se meri
pehli mulaaqaat thi jaanaa???
Na who farishta ho na farishtey jaisa ho
Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho
Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho
Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho
Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to
Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey
Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho
Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho
Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho
Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho
[thumb=D]post-27-53452-BuhatDinooKiBaatThi.JPG[/thumb]
[thumb=D]faf_21.JPG[/thumb]
[thumb=D]poem-page-546-1.JPG[/thumb]
[thumb=D]poem-page-539-1.JPG[/thumb]
[thumb=D]poem-page-543-1.JPG[/thumb]
**
Har tamanna har dua jalti rahi
zindagi tere bina jalti rahi
Raste tu kat hi gaye tere bina
Ek khalish dil mein sada jalti rahi...**
Tum meri aankh ke taiwar na bhula paaoogi
Unkahi baat ko samjhogi tu yaad aaonga
Hum ne khushiyoon ki tarah dukh bhi ekhattay dekhay
Safha-e-zeest ko paltogi tu yaad aaonga
Is judai mein tu ander se bikhar jaaogi
Kisi ma'zoor ko dekhogi tu yaad aaonga
Is andaaz mein hoti thee mukhaatib mujh se
Khat kisi aur ko likhogi tu yaad aaonga
MEri khushboo tumhein kholegi gulaboon ki tarah
Tum agar khud se na bologi tu yaad aaonga
Aaj tu mehfil-e-yaaraan pe ho maghroor bahut
Jab kabhi toot ke bikhrogi tu yaad aaonga
Ab tu yeh ashk mein hontoo se chura leta hoon
Haath se khud inhain poonchogi tu yaad aaonga
Shawl pehnayega kaun ab December mein tumhein
Baarishoon mein kabhi bheegogi tu yaad aaonga
Hadsay aayenge jeewan mein tu tum ho ke nidhaal
Kisi deewaar ko thaamogi tu yaad aaonga
Is mein shaamil hai mere bakht ki taareeki bhi
Tum seyyaah rang jo pehnogi tu yaad aaonga...
awwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwww.. amarbail.. wow.. u posted so much..lol nice.. loved all of em..
last one was a bit sad *sniff but most did bring smile to ma face :)..thankuuuuuuuuuu soooo much muchh..sowwy culdnt chk it earlier.. yeh thread 2nd page per chala gaya tha na so mainey dekha he nahin .. sowwy
but thankx for sharing it all wid me..
shiki bhai jaani..
haye allah itniiiiiiiiiiii romachak poem.. kya baat hia ..
… vivo ney bheji thi kya :p..