Re: Bus Ek Tum He To Nahin Thay..
really a good nazm, Ahmer.
thanks for sharing.
inspired this:
Inihi bhaanjh rutoon
Meye heye shamil jo heye udaasee koe,
In meye aik rabat aur tasulsul heye
Raabta heye, aik...
Latalukee ka hee sahi
Jo ker na sakeye apneye hee maan ke izzet khood
Jiseye dee gaee izzet iss ko gawara na huvee
Itna sa, bus itna sa... tow ho ga na?
Iss ka asr, iss per, aur kisi aur per bhee heye gheira asr…
Keye iss kee apni la pervahee seye
Iss ka zehan kaif heye huva…
Aik bohet kamosh aur dooor sahi
Aik bohet dukhee aur kareeb-ter hee sahi
...
Jis ko mukhlis chah heye
Jis ko garoor bhee na tha,
Jo chup chaap dekhitee rahee, suntee rahee,
Iss kee sekth-dilee meye larzan
Pehchan gaee...
Aik iss kee beybasi,
Aur iss neye iss seye aisa bertao kiya
Mehaz iss liye,
Keye iss ko bhekaya tha giya
Iss seye issi ka kush-waket chinwaya giya
Afsos, keye aaj wohh akeila heye
Asfos, keye wohh door heye bohet
Isi liyeye tow waket tehr sa giya heye
Waket tehr sa giya heye...
Shayid, na rukneye keye liyeye
Ya shayid phir seye milneye keye liyeye
best,
Dushwari