*Bohat achi collection parhny ko mili... thnx all*
***Aziz itna hee rakho kah jee sambhal jaey* Ab is qadar bhi na chaho kah dam nikal jaey Muhabbatoo'n main ajab hay diloo'n ko dharrka sa Kah jaanay kaun kahan raasta badal jaey**
Us ki har "uff" pe hum apni jaan lutatay rahe
Us ki shakseyyat ko kar ke buland hum khud ko mitatay rahe
Raah-e-Muhabbat mein hum ne kuch yun paaya sila wafa ka
Woh dete rahe zakhm pe zakhm aur hum muskuratay rahe ...
*Woh aksar apne kaam mein maggan
Bethay bethay mujhe sochnay lagta hai
Woh saari baatain yaad aati hain us ko
Woh subhain woh shaamain
Wohi zindagi ki musafattain
Jinhain gin gin kar guzaara kartay thay
Phir jab
Haqeeqatton mein wapis laut'ta hai
Tu muskura deta hai
aur sar jhattak ke kehta hai
Pagli ...
*
Bichartay lamhay jo mein ne poocha
Tumhari aankhoon ko kya huwa hai
Tau us ki aankhoon ki bheegi palkain bata rahi theen
Kahaaneyaan kuch suna rahi theen
Purane qissay gaye dinoo ke
Aur us ke hontoo ki larzishoon se
Mein sun raha thaa kuch aisi baatain
Ke jin ke aahat yeh keh rahi thee
Ke meri khaatir bas itna kar lo
Yeh chand saansain mera asaasa
Tum in ko le lo
Per in ke badle yeh iltijaa hai
Abhi na jaana
Kabhi na jaana ...
Judai ke saaray silsilay
Ussi tarah jaari hain
Aansoo tere bhi behtay hain
Aansoo mere bhi jaari hain
Socha thaa ke sath hi tere
Jeeyenge bhi marenge bhi
Sochne ki justujo hum mein
Ab bhi waise hi jaari hai
Har dafa tujhe paanay ki umeed
Toot kar bikhar jaati hai
Har dafa umeedaain baandhna
Yeh aadat ab bhi jaari hai
Tum bhi ab tang ho hum se
Ab be-bas hain hum khud bhi
Aansoo mere bhi behtay hain
Aansoo tere bhi jaari hain ...
Mila woh bhi nahe kartay
Mila hum bhi nahe kartay
Wafa woh bhi nahe kartay
Khata hum bhi nahe kartay
Unhain ruswai ka dukh hai
Humein tanhai ka dukh hai
Gilla woh bhi nahe kartay
Gilla hum bhi nahe kartay
Kisi morr per takrao aksar ho hi jaata hai
Ruka woh bhi nahe kartay
Ruka hum bhi nahe kartay
Jab bhi dekhtay hain unhain
Sochtay hain kuch keh dein un se
Suna woh bhi nahe kartay
Kaha hum bhi nahe kartay
Lekin yeh bhi sach hai ke
Muhabbat unhain bhi hai
Muhabbat humein bhi hai
Bola woh bhi nahe kartay
Zikar hum bhi nahe kartay ...
*Khud ko mujh se juda kiya us ne
Jo na karna thaa woh kiya us ne
Yaad karne se bhi na yaad aaoun
Aisa mujh ko bhula diya us ne
Mein tu bas wakt ki zaroorat hoon
Mujh ko aakhir bata diya us ne
Apne haathoon se khud hi
Likh kar mujhe "Jaan"
Jaanay phir kyun mitta diya us ne ...
*
Hatheli saamnay rakhna ke sab aansoo girain us mein
Jo ruk jaayain hontoo per samajh lena ke woh hum hain
Kabhi jo chaand ko dekho tu tum yun muskura daina
Ke phir baadal bhi aajayain samajh lena ke woh hum hain
Jo chal jaaye hawa thandi tau aankhain band kar lena
Jo jhonka taiz ho sab se samajh lena ke woh hum hain
Jo zeyaada yaad aun mein tu tum ro lena jee bhar ke
Agar hichki koi aaye tau samajh lena ke woh hum hain
Agar tum bhoolna chaaho mujhe shaayad bhula do tum
Magar jab jab saans aaye samajh lena ke woh hum hain ...