Bheegta Raha Barishoo'n Main Aksar
Kabhi Maangi Kisi Say Paanah Nahee'n
Hasratain Poori Na Hoon Tou Na Sahi
Khwaab Daikhna Koi Gunaah tou Nahee'n
Bheegta Raha Barishoo'n Main Aksar
Kabhi Maangi Kisi Say Paanah Nahee'n
Hasratain Poori Na Hoon Tou Na Sahi
Khwaab Daikhna Koi Gunaah tou Nahee'n
Re: Broken Heart Challenge
Kamal shakhs tha jis ne mujhe tabah kia
khalaf us ke ye dil ho saka he ab bhi nai
Re: Broken Heart Challenge
Marnay ki khabr mil jaaye agar
aye Jaan e Jigar tu kabhi mat rona
Re: Broken Heart Challenge
us nay apni sarii keemti cheezayian
utha kr sambha li ......
sawyia mere .....!! (parween shakir)
Re: Broken Heart Challenge
kehi tehna nah kr day *tujhe ***
***munfird rhne ka andaz ...*
**jab din dhala kre to , **
tou kisi say haal-e-dil keh diya kr ...
Re: Broken Heart Challenge
tark-e-tahluqat ka koi sabab to tha
sun'ne ka mere dil ko magar hosla kaha
Hum Apnay Muqad'dar Par HayraaN Buhat Thay
Tujhay Kho Kar Hum ParayshaaN Buhat Thay
Kabhi Talaash Jo Tujhay Karnay Niklay Hum
Tayray Qadmo'n K Saath Aur Bhi NisshaaN Nuhat Thay
Re: Broken Heart Challenge
Reza Reza Hai Mera Aks , to herat yeh hai
Mera aeena Salamat hay , to phir toota kia hay........!!!!
Re: Broken Heart Challenge
Zindgee raqs kabhi kertee thee
**ab to chup chaap pare hay mujh main **
Re: Broken Heart Challenge
dam-e-waapse yeh kia hoa na woh roshni na woh taazgee
*woh sitaara kaisai bikhar gaya jo apne misaal app tha *
Re: Broken Heart Challenge
Itna Toota hoo ke chooney se bikhar jaoo ga
ab agar dua do ge to mar jaoo ga..
Kamal shakhs tha jis ne mujhe tabah kia khalaf us ke ye dil ho saka he ab bhi nai
Wah....
Re: Broken Heart Challenge
Hum har roz uddas hote hain or shaam guzar jati hai,
Kisi roz shaam uddas ho gi or hum guzar jaaein ge...
Re: Broken Heart Challenge
ujaalay apni yadooN ke mere sath rehnay do
na jaane kis gali maiN meri zindgi ki shaam ho jaaye
Muhabbat Ki Saza Di Bey-Misaal Uss Nay
Udaas rehnay Ki Aadat Si Daal Di Uss nay
Maynay Jab Bhi Apna Banana Chaha Uss Ko
Baato'n Baato'n Main Baat Taal Dee Uss nay
Dil Ki Khamoshi Say Sanso'n Kay Taher Janay Tak
Yaad Aa'eyga Mujhay Shakhs Woh Mar Janay Tak
Uss Nay Ulfat K Bhi Pemanay Bana Rakhay Thay
Maynay Chaha Tha Usay Had Say Guzar Janay Tak
Is Tarah Dil Ko Tayree Yaad Say Behlatay Hain
Raat Bhar tayree Har Ek Baat ko Dohraatay hain
Hum Tayree Yaad Kay Taptay Hovay Sehra Main
*Khushk Pat'to'n Ki Tarah Roz Bikhar Jaatay Hain *
Muhabbat Ki Saza Di Bey-Misaal Uss Nay
Udaas rehnay Ki Aadat Si Daal Di Uss nay
Maynay Jab Bhi Apna Banana Chaha Uss Ko
Baato'n Baato'n Main Baat Taal Dee Uss nay
awesome..tfs
Re: Broken Heart Challenge
Pg kinz t.naam pk brother nice sharings ! :k:
Re: Broken Heart Challenge
Kamal-e-Zabt Ka Maalik Nazar Shanas Bhi Tha,
Bichar Raha Tha Achanak To Ba’Hawas Bhi Tha,
Labon Pe Khobsurat Tabasum Sajaye Phirta Tha,
Wo Ek Shakhs Jo Shayed Udaas Bhi Tha,
Main Jiski Yaad Ki Parchayon Main Gum Rehta Tha,
Wo Dastaras Main Na Tha Or Mere Paas Bhi Tha.