Birthdays in life

:teary1: hawwwwww me wishne mein latu hogayi :bummer:

well HAPPY HAPPY BDAY allah aapki harr jaayaz khwaahish puuri kare aur koi khwaahish na puuri hone pe allah aapko dukh na hone de aur allah ka shukar ada karne ki taufeeq ada farmaaiye

allah aapki life khushiyon se bharrde, koi gham ya imtehaan aaye bhi toh mukhtasir ho aur uske baad dheyr saari khushiyan milein, allah aapke upar apni rehmat ka saaya hamesha barqaraar rakhe, aur aapko harr taraf se khush rakhe, allah aapko maujze pe maujza dikhaaye aapki zindagi mein taakey aap allah ka shukar karti na thakkein, allah aapko khushiyon bharri lambi zindagi de, aur iss lambi zindgai mein aapko imaan ki salamati bakshe aur behtereen sehat bakshe, allah aapko kameeyabiyon pe kameeyabiyan de aur aapko fursat de dil se allah ki ibaadat aur shukar karne k liye.

allah aapke liye meri harr dua qubul farmaaye aur aapke sadqe mein mere pe bhi yeh duaein laagu hon

AMEEN :@:

:hugz: once again many many happy returns of the YEAR :stuck_out_tongue:

cheers,
F