BichaRney sey zara pehley..!!
BichaRney sey zara pehley agar wuh Izn-e-Goyaai mujhey deta mujhey ussko bataana tha... k meiN usski hatheli par adhoorey khaab rakh kar bhool aai huN meiN usski reh-guzaaroN meiN ussey aankhoN meiN bhar leney ki hasrat bhool aai huN agar wuh bolney ka Izn deta tou mujhey ussko bataana tha.......!! k meiN usskey liye alfaaz ki maala piroti thi magar ab be-hunr honToN ko Goyaai nahi milti mujhey ussko bataana tha meri AankheiN agar ussko na dekheiN tou buhat Be-Noor rehti heiN koi manzar bhi taGhyaani k aagey ruk nahi paata mujhey ussko bataana tha....! k usskey saath ka matlab hi meri zindagaani hey bina usskey meri har saans meri raaegaani hey.....!
Beautiful SHaring Gul :)