Re: bholi larki
**Mat iss khwaab ke peechay bhago bholi lerki
mat iss khwaab ke peechay bhago patther ban ke reh jao gi taiz bohat hai waqat ka derya tum bhi iss main beh jao gi
yeh nishter jaisi ruswai bolo kaise seh pao gi kya bachon jaisi baton se tum sab ko behla sakti ho kya tum apnay mann ki mantak duniya ko samjha sakti ho
khwabon jaisi batain ker ke kya tabeerain pa sakti ho? baap ki shafqat maan ki maamta kya sach much thukra sakti ho?
jiss ghar main perwaan cherhi thi tum iss ghar ko chor ke aa sakti ho? aaisi batain na mumkin hain bus tum apni tanhai main hijr ke geet hi ga sakti ho **
koi batae kese behlaaun zakhmi dil ko
majboor hoon mein kitna samjhaaun zakhmi dil ko
jis pe marta hai yeh woh to hai bewafa
zakhm ese diya na ho jinki dawa
mushkil mien yeh jaan hai
Aapka diya hua har gham
Ab mere liye khushi ban jatta hai
Keon dard jab hadd sei guzar jaye
Tou khud dava ban jatta hai