ek din main raat ko akela khana kha raha tha. Ek plate main chawal , ek plate main daal our ek plate main achar. Baar baar botal se achar nikalta tha our khata ja raha tha. itney main bara bhai agaya. wo ghussey se bola
Tumhain kia masla hai itna achaar keyon kha rahey ho ? 
main khana khatey howey kaqqa baqqa reh gaya 
phir wo ammi se bola !
Ammi is ko poochain ye achar keyon kha raha hai ? 
ammi ne tu mujhey kuch nahi poocha 
bhai jaan ye keh kar chala gaya …
Our mian botal main se dobara achar mian se gajar our aam ki phari nikaltey howey sochney laga ke Aakhir hamarey moushrey main larkoon ko achar khaney se keyoon roka jata ahi 
Is descrimination ki kia waja hai. Our larkey chup chaap baRoon ki daant phatkaar suntey hain our bardaasht kartey hain
Aakhir hum ye zulm kab tak bardasht karain gey ? 