Re: Best of Anwaar Qureshi
*Ninth Poem: This is an "inspired" poem. And the theme and monotony of my poems continues *
Sar-e-Shaam, nazraiN falak pe jamaateY rehnaa
TooT-tey taaroN saY qismat ko bachaateY rehnaa
Chaand maiN dekhtaa hooN jub bhee maiN soorat uss kee
Saath muskaan kay ik daagh chehraY pe sajaateY rehnaa
Yaad uss ko woh ehd-e-wafaa ho kaY naa ho
Mujh ko hai har pa'l umeed kaY charaagh jalaateY rehnaa
JaanaY waalaY ko kabhi aana tau naheeN hai laikin
Sar-e-Raah palkoN ko, hur dumm bichaateY rehnaa
Yaad jub kabhi aataY haiN lamhaY woh Maah-e-December kaY
Dil maiN buss phir Soch kay deep jalaateY rehnaa
Woh bay Wafaayee, Woh bay Rukhi, woh Sard Mehri
Raat maiN bhee abb shamm'aiN bujhaateY rehnaa
Hai sharamsaar Ishq, Mohabbat Sar nigooN hai laikin
QissaY mohabbat kaY Anwaar phir bhee sunaateY rehnaa
12:29 AM 7/26/2005