
**Dard-e-dil mein kami na ho jaaye **
**Dosti dushmani na ho jaaye **
**Tum meri dosti ka dam na bharo **
**Aasmaan muddai na ho jaaye **
**Baithta huun hamesha rindon mein **
**Kahiin zaahid vali na ho jaaye **
Apne Khuu**-e-vafa se darta huun**
Aashiqi bandagi na ho jaaye