Re: Bekhud Dehlvi
**May pilaakar aap ka kya jaayega **
Jaayega imaan jis ka jaayega
**Dekhkar mujhko vo sharma jaayega **
**Ye tamasha kisse dekha jaayega **
**Jaauun butkhaane se kyuun kaabe ko main **
Haath se ye bhi thikana jaayega
**Qatl ki jab usne di dhamki mujhe **
**Keh diya main ne bhi dekha jaayega **
**Pi bhi le do ghuunt zaahid pi bhi le **
Maikade se kaun pyasa jaayega