BNA........Aurtain Behooda naheen mard behooda hotay hain. Aurtain behoodi hoti hain.
Aap nain Behooda auratain kah kar us main khud ko bhi shamil kar lia.
Shayad aap ko ilm ho libaas kuch bhi ho mashraqi kay maghrabi per Islami Code kay mutabiq ho yani satar dhaka ho aur loose ho jo kay bohat asan aur kum hai jitna hamain karnay kaha gia hai.
Hamain koi khaas dress mashraqi ya maghrabi naheen pehnnay kaha gia hai. Hum her qism k achhay aur khoobsoorat libaas pehan saktay hain bus wo loose aur satar dhaktay hon chahay pant aur full sleve t shirt hi kioon na ho.
Aapki jo marzi pehnain Allah ko jawab aap nain dena hai na kay kisi aur nain. Haan main apnay liay full covering aur loose dress pasand karti hoon aur her musalman k liaay bhi dua karti hoon Allah unhain bhi taufique day Ameen.
Chai main thookna intehai bachkana harkat hai. Unko bhi sub k samanay aap ko yoon zaleel naheen karna tha tunhai main pyar say samjhana tha. Baqi aap ki agay jo marzi hoti karti.
Mera bhi mukhlisana mashwara hai aisi revealing dressess say kinara kashi ikhtiar karain aur apna husn jism say (jokay intehai asan hai) dikhanay kay bajaay apnay ikhlaaq aur umda dress k chunao say zahir karain. Jis tarha main karti hoon. Itnay khoobsoorat (ziada manhgay bhi naheen) aur is tarha tareeqay say pehanti hoon kay sub tareef kartay hain. Yaqeenun aap ka taste bhi bohat khoobsoorat ho ga.
Koi baat buri lagi ho to maaf kijaay gay. Love you.