Re: bebasi
Patta bhi kharakta hai to lagta hai ki wo aaye
khudaya intezaar ke lamhe kaisi bebasi mein bitaye
kagaz ki nav hai meri kahin unko ye pata na chal jaye
Khayalon ke jahaj banata hoon apni khudi ko bharmaye
Shayad wo khushnaseebi kabhi mujh tak na aaye
Mere darakhton se lipte hain manhoos kale saaye
mein logon ke sarmaye ne mere hosh udaye
Ab kaun hain jo is fakamast ka chirag jalaye...