Bait Bazi

Re: Bait Bazi

**tasviir banaataa huu.N tasviir nahii.n banatii

ek khvaab saa dekhaa hai taabiir nahii.n banatii

bey/yeh
**

Re: Bait Bazi

:emmy:

Re: Bait Bazi

BarsoN ke bad daikha ik shaks dilruba sa
ab zehn main nai hai kia naam tha bhala sa

Seen/alif

Re: Bait Bazi

saat rungoon kay shamiyanay hien
Dil ky mausum bary suhanay hien
koi tadbeer bhoolnay ki nahi
yaad anay kay 100 bahanay hien

h/noon

Re: Bait Bazi

har cheez zamanay ki aaina-e-dil hoti
khamosh mohabat ka itna to sila hota

hey/alif

Re: Bait Bazi

**Hum say badul gaya woh nighahein toh kya howa
zinda hain kitnay log mohabbat kiye baghair

bey/rey
**

Re: Bait Bazi

be-taluq na humain jaan ke hum janty hain
kitna kuch jaan ke ye be-khabri aati hai

hey/ye

Re: Bait Bazi

Ye aur bat he hum tum ko yad aa na sake
sharab pee ke bhi laikan tumhen bhula na sake

Ye

Re: Bait Bazi

youn qibla rukh ho kay hathoon ko utha ky
dekha hy ksi nay bari hasrta sy Khuda ko

Re: Bait Bazi

**kabhii yuu.N bhii to ho
dariyaa kaa saahil ho
puure chaa.Nd kii raat ho
aur tum aao

Alif/wao
**

Re: Bait Bazi

Aaya hee tha abhi meray lab per wafa ka naam
Kuch doston nay haathon mein pathar othaa liyay

Re: Bait Bazi

Yeh malaal kaisa malaal hai tere dil mein bhi mere dil mein bhi
k khafa hain kitne dinoo se hum per labon pe koi gila nahi

Re: Bait Bazi

[TABLE="class: tablebg, width: 100%"]
[TR="class: row2, bgcolor: #E4F4FE"]
[TABLE="width: 100%"]

****Nam e jamhoor pe bazaar saja rakha hay
biktay hen log yahan daam laga kar dekho
Ham say Mahtab kahan zakhm sajanay walay
tum koi teer naya dil pe chala kar dekho
*


**

[/TR]
[TR="class: row2, bgcolor: #E4F4FE"]
[/TR]

Re: Bait Bazi

yooan tu pehlay bhi howay, tujh say kai baar juda
lakin aab k nazar aatay hain halaaat juda......

Re: Bait Bazi

aaj to be-sabab udaas hai jii
ishq hotaa to koi baat bhii thi

Re: Bait Bazi

Theen banat-un-nash-e-gardoon din ke parde men nihaan.
shab ko un ke jii men kia aayi ke uryaan ho gayen.

Sab kahan,kuch lala-o-gul men numayan ho gayen.
khak men,kia sooraten hon gi ke pinhan ho gayen.

Re: Bait Bazi

Na Janay kis ko Paanay ki Khwahish main,
Main Rafta Rafta khud ko kho Raha hoon.....!

Re: Bait Bazi

Hum Nay manna Tghafal Na kAroo Gy Laikin
Khaak Ho Jaien Gy Hum Tum Ko KHabar Honay Tak