Re: Bait Bazi ..
ye soch ke ley aya hooN meiN jungle sey kuch jugnu
naa jaaney ab qismat meiN sehar hey ke nahi hey
"yeh"
Re: Bait Bazi ..
ye soch ke ley aya hooN meiN jungle sey kuch jugnu
naa jaaney ab qismat meiN sehar hey ke nahi hey
"yeh"
Re: Bait Bazi ..
hello to all,i m new here :) ,
here is a sher of "Yeh"
yahan ehliyet ko koi poochney wala hi nahee hai
salami deney waloon ki woh taqdeeren banatey hain
yaqeen hai mujhko bazi jeetney ka fatah meri hai
main guldastey banata hoon woh shamsheeren banatey hain
"yeh" again
Re: Bait Bazi ..
^ Asalmolakum .. Welcome .. have fun and enjoy your stay ..
..
yeh hqeqt hay yah aik vaham-o-khail
Aeena he roO broO hai main kahan
“Noon” i think or its brother .. :-s ..
Re: Bait Bazi ..
Nai karta Intazar waqat! kesi ka
main waqat kee is rawish ko badalna chata hoon
"Non" again
Re: Bait Bazi ..
Na janay kon dua'on may yaad rakhta hai
May doobta hoon, samandar uchaal dayta hai
Re: Bait Bazi ..
^ very nice .. :-)
Neend aajae tu kia mehfilain barpa dekhon
aankh khul jae tu tanhae ka sehra dekhon
"NOON"
Re: Bait Bazi ..
thanks :)
Nigah jab bhi parti hai dil kay daghon par
To ek dost kay ehsaan yaad ajatay hain
NooN
Re: Bait Bazi ..
nikalna khuld say adam ka, suntay aaey hain lekin
bohot be-aabroo ho kar teray koochay say hum niklay ![]()
“yeh”
Re: Bait Bazi ..
yeh joo aag hai siinay may usay na buja sakoon na barha sakoon
ab ye eeshk he han jo palkon see raaze baayahen suuna saken
Re: Bait Bazi ..
nuktacheeN hay, gham-e-dil usko sunaaey na banay
kya baney baat jahaan baat banaaey na banay
"yeh"
Re: Bait Bazi ..
Yakeen nahin hai mager aaj bhi yeh lagta hai
Meri talaash mein shayad bahaar aaj bhi hai
"yeh"
Re: Bait Bazi ..
Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhaare Hain, Tumhain kya Malum
"meem"
Re: Bait Bazi ..
Meri dastaaN ka urooj tha teri narm palkon ki chaoN meiN
Mere saath tha tujhey jaagna teri aankh kaisey jhapak gayi
Re: Bait Bazi ..
^ ahaa this one is really niceeeeee >>
*Yakeen nahin hai mager aaj bhi yeh lagta hai
so from yeh making sure ..
yeh bhi dekha hai kay jub aa jayay gayrat ka maqaam
apne soleE apnay kandhay per utha letay hain loog
"gaaf" ..
Re: Bait Bazi ..
giay dino ka suragh lay kar kidher say aya,kidher gia wo
ajeeb manooos ajnabi tha mujay, to hairan kar gia wo
Re: Bait Bazi ..
it is "hey"?
Har ek say bay gana ban rahay hain, kisi ki janib nazar nahi hai
Khabar woh rakhtay hain is tarah say kay jaisay koi khabar nahi hai
Re: Bait Bazi ..
Ya Rub duaa-e-wasl na hurgiz qabool ho
phir kia rahay ga dil main gar hasrat nikal gai
Last Wod Ye
Re: Bait Bazi ..
Yeh kis maqaam par hayaat mujhko le key aa gayi
Na bas khushi pe hai jahan na gham pe ikhtiyaar hai
"yeh"
Re: Bait Bazi ..
yea judayion kay rastay barhi door ta giay hien
jo gia phir na aya meri baat maan jaoo
kesi baywafa ke khatir yea junoon faraz kab tak
jo tujay bula chula usay tum b bhool jaoo
Re: Bait Bazi ..
Woh keh rehi thi semender nehi hain aankhain hain
main un main doub gaya aitbar kertay houa
yeh