Bait Bazi - October 2013

Re: Bait Bazi - October 2013

***Hamari Be_Khudi Ka Haal W0 Poochein Agar AeyQasid..!
To Kehna H0sh Bas Itna Hai K Tum K0 Yaad Krtey Hain...

hey/noon***

Re: Bait Bazi - October 2013

*Na sawal sood_o_ziyan ka ker, hay wo kia jo mujh ko milla nahi *
**Meray humsafar tu yaqeen ker, mujhay tujh say koi gilla nahi

noon**

Re: Bait Bazi - October 2013

***Na sawale vasl, na garze ghum,na hikayatein na shikayatein
Teray ehad main dile Zar ke sabhi ikhtiyar chalay Gaye.....

Gaaf/ ye***

Re: Bait Bazi - October 2013

**Gulon mein rung bharay bad-e-nau bahar chaley
chaley bhi aao kay gulshan ka karobaar chaley

chey/ye**

Re: Bait Bazi - October 2013

***Chah Kar Bhi Pooch Nahi Paate Hain Haal Unka
Darte Hain Kahin Keh Na De Tumhain Ye Haq Kisne Diya .....

daal/alif***

Re: Bait Bazi - October 2013

**ai chaaraagaro qabil-e-daramaan nahin ye dard
varnaa mujhe saudaa hai ke main kuchh nahin kahataa

kaaf/alif **

Re: Bait Bazi - October 2013

Ae gham e duniya tujhe kia ilm k tere waaste
kin bahanon se tabiyat raah pe lai gai

gaaf/ye

Re: Bait Bazi - October 2013

***yuuN hii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai *
**kis qadar jald badal jaate hain insaan jaanaan

jeem/noon****

Re: Bait Bazi - October 2013

Junoon e jurm e wafa baar baar hum ne kia
Teri nigaah pe kiyun aitbaar hum ne kia

kaaf / alif

Re: Bait Bazi - October 2013

***Intezar Itna bhi na karwa ke mangun dua Maut ki khuda se
ab to Milnay chalay aao ke kisi ki zindagi ka sawal hai...

Hey/ye


Re: Bait Bazi - October 2013

Ye to nahi ke gham nahin
han meri aankh naam nahin
tum bhi to tum nahi ho aaj
hum bhi to aj hum nahin

Noon

Re: Bait Bazi - October 2013

nahin hai na umeed Iqbal apni kasht-e-weeran se
zara numm ho tou yeh matti bari zarkhaiz hai saaqi

see/ye

Re: Bait Bazi - October 2013

***Yaad Aati Hai Jo Marhoom Tamanaon Ki
Bhool Jaata Hun Ke Mehroom-E-Tamanna Hun Main...

meem/noon***

Re: Bait Bazi - October 2013

**mashq-e-sitam faramaate rahiye
yuun hii mujhe tarapaate rahiye

rey/ye **

Re: Bait Bazi - October 2013

yeh Husn ke jalve haiN merii samt gurezaaN
yaa hai koii Haalat mire vijdaan-e-nazar kii?

a she'r by: my Dad!
**
KAAF/YE**

Re: Bait Bazi - October 2013

Koi phool dhoop ki pattiyon mein harey ribbon se bandha hua,
Woh ghazal ka lehja naya naya, na kaha hua na suna hua.

hey/alif

Re: Bait Bazi - October 2013

*hazaaroN rang meN kii maiN ne un se guftugu barsoN
na niklaa phir mere muNh se Harf-e-aarzoo barsoN
*

a she'r by: my Dad!

BE/YE

Re: Bait Bazi - October 2013

Bhari Bazm Mein Raaz Ki Baat Keh Di..
Bara Be-Adab Hun, Saza Chahta Hun..

He/ noon

Re: Bait Bazi - October 2013

Na gour sikander,na hai qabar daar..
Mitay naamon k nishaan kaisay kaisay..

Kaaf/ye

Re: Bait Bazi - October 2013

kasa-e-deed main bus ek jhalak ka sikka
hum faqeeron ki qanaaat sy tujhay daikhty hain.

he/ noon