Re: Bait Bazi - October 2013
Ye kia k raat din uski yaad mein doobay rehna
Na Gham ki barish me nahao December jany wala hy
hey/ye
Re: Bait Bazi - October 2013
Ye kia k raat din uski yaad mein doobay rehna
Na Gham ki barish me nahao December jany wala hy
hey/ye
Re: Bait Bazi - October 2013
Her musibat ka diya ek tabassum se jawab,,
Is tarah gardish-e-douraan ko rulaaya hum ne,,
Noon/ye
Re: Bait Bazi - October 2013
***Yeh sab rastey ke saathi hain, inhe akhir bicharna hai,
Chalo ab ghar chalein “Saghir” bohat awaargi kar li.
laam/ye
Re: Bait Bazi - October 2013
yeh meri zamant hai ke paaye ga woh shohrat,
thori si woh pehle meri ruswai tou kar jaaye.
jeem/ye
Re: Bait Bazi - October 2013
***Jaanum teray baghair kab zinda raha hoon main,
Her peher her gharri yahan merta raha hoon main
meem/noon
Re: Bait Bazi - October 2013
***Nazar Uthao'n To Manzil Ka Fasla Hai Wohi
Palat Ke Dekhoon To Peeche Taweel Raasta Hai...
hey/ye***
Re: Bait Bazi - October 2013
***Yeh aana parast log hai andr sy tootay huye ,
*** Main yeh baat duniya walon ko btana chahta hon
hey/noon
Re: Bait Bazi - October 2013
***Humne apni udasi ko is tarah barham rakha
*Raabte kam kar diye or maghroor kehlane lage....
laam/ye****
Re: Bait Bazi - October 2013
Laaye thay koye-e-yar se hum Daagh ko abhi,,
Lo uski mout aye woh nadaan phir gya,,
Gaaf/alif
Re: Bait Bazi - October 2013
ab tak dil-e-khush faham tujh sy hain umadain,
yea akhri shammay b bujhanay k liyay aa…
alif
Re: Bait Bazi - October 2013
Ankh k rastay rahay veeran,
So gya chand hum nhi soye,
Zabt ki muthiyon mein dil de kr,
Raat hum___toot kr bht roye,
Ray/ye
Re: Bait Bazi - October 2013
Yun na ho k log mohabbat hi se toba kr lein,
Is tarah jurm-e- mohabbat ki saza mat dena
daal/alif
Re: Bait Bazi - October 2013
ik mouj dabe paon ta'aqub mein chali aayi
hum khush thay bhut rait ki deewar bana kar
kaaf/rey
Re: Bait Bazi - October 2013
rok sako to pehli barish ki boondoon ko tum roko
kachi maTi to mehkay gi, hay maTi ki majboori
meem/ye
Re: Bait Bazi - October 2013
rok sako to pehli barish ki boondoon ko tum roko kachi maTi to mehkay gi, hay maTi ki majboori
meem/ye
Jo Main Sar-ba-Sajda Hua Kabhi Toh Zameen se aaney Lagi Sada
Tera DiL toh hai Sanam Aashna..Tujhey Kya Milega Namaaz Main
Meem/ Noon
Re: Bait Bazi - October 2013
**manzar hai vahii thathak rahii huun
hairat se palak jhapak rahii huun
hey/noon**
Re: Bait Bazi - October 2013
**manzar hai vahii thathak rahii huun hairat se palak jhapak rahii huun
hey/noon**
Na wo ishq main rahin garmiyan, na wo husn main rahin shokhiyan
na wo Ghaznavi main taRap rahi, na wo kham hai zulf e Ayaz main
Meem/ noon
Re: Bait Bazi - October 2013
Hum khak nasheenon ko na hairat se yun takiyo..
Hum karb se guzray hain,karaamat se pehle..
Pay/ye
Re: Bait Bazi - October 2013
![]()
Mera dil tornay walay,
Tujhy kahin qaraar na aaye, ![]()
Alif/ye
Re: Bait Bazi - October 2013
Ye keh kar ik naya pinjra bana deta hai sayyad,
parinda khud qafas ka aab-o-dana chahta hai
hey/ye