Bait Bazi - October 2013

Re: Bait Bazi - October 2013

thanks for LIKE-ing the she'r. :)
**
yeh farsh-e-Khaak_daaN hai, vo saqf-e-neel_guuN
kab pii thii aur hosh meN ab aa rahaa huN maiN
**
a she'r by: my Dad
**
**meem/noon

Re: Bait Bazi - October 2013

mein aik doultaa saagar mujhe uthaata koun
ghataa uthaa kar chali thi magar chalaa naa gaya

gaaf/alif

Re: Bait Bazi - October 2013

**Gam-e-hayaat kaa jagaraa miTaa rahaa hai koi
chale bhii aao ke duniyaa se jaa rahaa hai koi

kaaf/ye**

Re: Bait Bazi - October 2013

kyun roushnaai urney lagi hai khutoot ki
tu apni dosti sey mukar tou nahin gaya

gaaf/alif

Re: Bait Bazi - October 2013

http://rekhta.org/Uploads/GeneratedImages/Poems/Inpage/en_b8262274-9308-43a8-b5e3-181a37b100e7.png

Meem / Noon

Re: Bait Bazi - October 2013

**Main Kisi Ke Husn Ki Dilkashi Jo Bayaan Karoun To Bhi Kis Tarah
*Ke Nazar Ke Paas Zabaan Nahi To Zabaan Ke Paas Nazar Nahi

Noon***

Re: Bait Bazi - October 2013

Na Koi ranjj ka lamha kisi k paas aye … !
Khuda krey ke naya saal sab ko raas aye .

alif/yeh

Re: Bait Bazi - October 2013

http://rekhta.org/Content/Images/Sep.png

http://rekhta.org/Uploads/GeneratedImages/Poems/Inpage/en_9f499218-c61f-480f-8c44-1d34c9e9a878.png

he/ye

Re: Bait Bazi - October 2013

**hum ahl-e-mohabbat par woh waqt bhii aaye hein
khud qatl huwey aur qaatil kahlaaye hein *
*

hey/noon

Re: Bait Bazi - October 2013

na rangeeniyon main na raanaiyon main
nazar ghor gai apni hi parchaiyon main

meem. noon

Re: Bait Bazi - October 2013

**nazmen jahaan ulajhe to ulajhe
zulfon ko sulajhaate rahiye

rey/ye **

Re: Bait Bazi - October 2013

rung jamne na dia baat ko chalne na dia
koi pehlu mere matlab ka nikalne na dia

daal/alif

Re: Bait Bazi - October 2013

aaina dekh key tasalli hui
hum kou iss ghar mein jaanta hai koi

kaaf/ye

Re: Bait Bazi - October 2013

Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein, Phir Khwab Aagar Ho Jao To Kya,
Koi Rang To Do Mere Chehre Ko, Phir Zakham Agar Mehkao To Kya

kaaf/alif

Re: Bait Bazi - October 2013

kartey hou ab talaash sitaaroun kou khaak par
jaisey zameen, zameen naa hui, aasmaan hui

hey/ye

Re: Bait Bazi - October 2013

hum apnay gham ka fasana sunanay aaey thay
magay yay aap ki mehfil hai kiya keya jaey

Jeem / ye

Re: Bait Bazi - October 2013

**jab kabhii teraa naam lete hain
dil se ham intaqaam lete hain
merii barbaadiyo.n ke afasaane
mere yaaron kaa naam lete hain

hey/noon**

Re: Bait Bazi - October 2013

Hum se kab mansoob hai ronaq tumhare bazam ki,
Hum na hon ge tab bhi ho gi subha teri..Sham teri…

tey/ye

Re: Bait Bazi - October 2013

Ye aur baat ke khud to khizan naseeb rahe
Tujhe to shola e rung e bahar hum ne dia

daal/alif

Re: Bait Bazi - October 2013

Iss qadar pyar se na dekh mujhe,
Phir tamanna jawaan na ho jaye..

jeem/ye