Bait Bazi - October 2012

Re: Bait Bazi - October 2012

Yeh visaal hai ke firaq hai dil-e-mubtilaa ko pata rahe,
Jo phool hai to khilaa rahe jo yeh zakhm hai to haraa rahe,

Re: Bait Bazi - October 2012

rah-e-mohabbat mein ajab patharon se raha wasta
na zakham nazar ata hai na dard saha jata hai

Re: Bait Bazi - October 2012

Ye dagh dagh ujaala ye shab-gazeeda sahar
woh intezaar tha jis ka ye wo sahar to nahin

Re: Bait Bazi - October 2012

**na aqal na shaoor, na raast goyee, na fun
***zeest hamare shehr ki ehsaan fraamosh bhi hai

hey/ye*****

Re: Bait Bazi - October 2012

Yeh kon chupkay se tanhaaiyo'n main kehta hai
Mere baghair sukooon umer bhar nahi milna

Re: Bait Bazi - October 2012


الہٰی خیر، دل کی بات لب پر آئی ہے گویا
کوئی شہزادئ خلوت نشیں محمل میں آئی ہے

ایازصدیقی

Re: Bait Bazi - October 2012

Yahaan alfaaz biktey hain,Tijaarat hai takhiyul ki,

Muhabbat aik paisha hai,Tumhary sheher mein Mohsin..

Re: Bait Bazi - October 2012

Mana k tera waqt Qeemti hai, khaas hai,
Ham bhi nayab hai tu ne hi to kaha tha..

Re: Bait Bazi - October 2012

Ik tum hi nahi meri judai mai pareshan,
Hum bhi to teri chah mai veeran bohot hain,

Re: Bait Bazi - October 2012

Har kisi ko duniya mai shohratain nahi miltin
zindagi k lamhon ki qeematain nahi miltin

Re: Bait Bazi - October 2012

Mil jao kabhi laut k phir ayo na shayad,
Kamzor hoon mai rah mai toofan bohot hai,

Re: Bait Bazi - October 2012

Num hain palken teri ae mauj e hawa, raat ke sath
kia koi tujhe bhi yaad aata hai, barsaat ke sath

Re: Bait Bazi - October 2012

hum toh unki yaadon mai he jee leyte mgar,
unho ne toh yaadon mai he zeher mila diya..

Re: Bait Bazi - October 2012

hamen gham mila hamesha soorat badal badal ke
guzri hai umr saari tanhaiyon main jal ke

Re: Bait Bazi - October 2012

Kisi aur ka bhi ye haal ho, to ye dil na itna niDhaal ho
Meri bad naseebi to ye hui, maiN khud aap apni misaal tha

Re: Bait Bazi - October 2012

Uske yun tark e muhabbat ka sabab hoga koi
ji nahin manta wo bewafa pehle se tha

Re: Bait Bazi - October 2012

wasl ki shab aur itni kaali
un aankhon main kaajal hoga

Re: Bait Bazi - October 2012

Ab toh baat karna bhi gavra nahe unko..!
..Shayad Muhabat he jhuti thi unki..!

Re: Bait Bazi - October 2012

Aaj To Mehfil-E-Yaran Pay Ho Maghroor Bohat
Jab Kabhi Toot Kay Bikhroo Gay To Yaad Aaon Ga

Re: Bait Bazi - October 2012

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?
Mujhay tu khair taira intazaar karna hai..