Re: Bait Bazi - October 2012
Daikhi hai wapsi ki raah jiski umar bhar Woh hadd-e-intazar say aagay nikal gaya
wow per shair khatam tha mera ..app daal say likh rahay hain?
Re: Bait Bazi - October 2012
Daikhi hai wapsi ki raah jiski umar bhar Woh hadd-e-intazar say aagay nikal gaya
wow per shair khatam tha mera ..app daal say likh rahay hain?
Re: Bait Bazi - October 2012
Na koi chaap na aahat,na guftagoo na sawal. Kahan lutay hain khayalon k karwan daikho
woh log tumnay aik hee shokhi main kho diye
paida kiya falak nay jinhain khaaq chaan kar
Re: Bait Bazi - October 2012
wow per shair khatam tha mera ..app daal say likh rahay hain?
lats word k pehlay ya aakhri harf sy shair start hona chahiya.........
sirf last sy nhi.....
Re: Bait Bazi - October 2012
woh log tumnay aik hee shokhi main kho diye paida kiya falak nay jinhain khaaq chaan kar
*koi kahmosh ho jaye tu hum tarp jate hian.........
hum kahmosh howey tu kisi ney haal tak na pocha...........!!!
*
Re: Bait Bazi - October 2012
*koi kahmosh ho jaye tu hum tarp jate hian......... hum kahmosh howey tu kisi ney haal tak na pocha...........!!! *
aam usool kay mutabiq aako "ray" say shair post karna tha : s
but anyway, here you go
esa rang rang-day, rang na chhootay
dhobiya dhoye jaye saari umarya
Re: Bait Bazi - October 2012
is thread ki pehli post parhyn.......1st page
Re: Bait Bazi - October 2012
esa rang rang-day, rang na chhootay dhobiya dhoye jaye saari umarya
*ummid-e-pursish-e-ghum kis se kijiye ‘Nasir’
jo mere dil pe guzarti hai koi kya jane.....!!!!
*
Re: Bait Bazi - October 2012
: s ye koi naya tareeqa hay bait bazi ka ?
Re: Bait Bazi - October 2012
members ki aasani k liya aisa hy shayad...........
Re: Bait Bazi - October 2012
*ummid-e-pursish-e-ghum kis se kijiye ‘Nasir’ jo mere dil pe guzarti hai koi kya jane.....!!!! *
ye masaael-e-tasavvuf, ye tera bayaN Ghalib
tujhay ham wali samajhatay, jo na baadaa-Khvaar hota
Re: Bait Bazi - October 2012
Ahl-e-dil aur bhii hain ahal-e-vafaa aur bhii hain
Ek ham hii nahiin duniyaa se Khafaa aur bhii hain
Re: Bait Bazi - October 2012
nijaat-e-deeda-o-dil ki ghaRi nahin aai
chalay chalo k wo manzil abhi nahin aai
Re: Bait Bazi - October 2012
**Ab key bichrein tu shahid kabi khowaboon mein melein
jis tarha sokhey hoay phol kitaboon mein melein
meem/ye**
Re: Bait Bazi - October 2012
**Ab key bichrein tu shahid kabi khowaboon mein melein jis tarha sokhey hoay phol kitaboon mein melein
meem/ye**
meem/noon bnata hay
na chchaiR aey nikhat-e-baad-e-bahaar, raah lag apnee
tujhay aThkaliyaan soojhee hain, hum bezaar baiThay hain
Re: Bait Bazi - October 2012
meem/noon bnata hay
na chchaiR aey nikhat-e-baad-e-bahaar, raah lag apnee tujhay aThkaliyaan soojhee hain, hum bezaar baiThay hain
Noon ghunna tha iss liye mein nay ye ker diya. :D
Re: Bait Bazi - October 2012
Hum khushbu ke saudaagar* hain aur sauda* sacha karte hain,
Jo gaahak phoolon jesa ho hum bin’daamon* bik jate hain,
Re: Bait Bazi - October 2012
hmen to mout se pyar hai zindagi ka kiya faida,FARAZ”
“zindagi to wo jeety hain jinhein dost mila karty hain
…
Re: Bait Bazi - October 2012
Hum sheher-e-wafa ke logon ka tum haal bhla kya jano ge,
Hum dil ki chot chupatey hain aur aansu pee jatey hain,
Re: Bait Bazi - October 2012
hawa jab sard patton ko juda shakhon se karti hai,
to humain tum se bichar jana bhut hi yaad aata hai
Re: Bait Bazi - October 2012
Yeh mujhe ijtmaayi khudkushi ka morr lagta hai,
Ke log ab ghar nahin rakhte magar hathyaar rakhe hain.