Re: Bait Bazi - November 2013
Yun na ho k log mohabbat hi se toba kr lein,
Is tarah jurm-e- mohabbat ki saza mat dena
daal/alif
Re: Bait Bazi - November 2013
Yun na ho k log mohabbat hi se toba kr lein,
Is tarah jurm-e- mohabbat ki saza mat dena
daal/alif
Re: Bait Bazi - November 2013
aahista baat kar key hawaa taiz hai bohat
aisaa naa ho key saaraa nagar bolney lagey
laam/ye
Re: Bait Bazi - November 2013
**leke maazii ko jo haal aayaa to dil kaanp gayaa
jab kabhii unakaa khayaal aayaa to dil kaanp gayaa
gaaf/alif **
Re: Bait Bazi - November 2013
Ab maza deney laga drd-e- mohabbat muj ko,
Muj ko is drd ki ab koi dawa mat dena,
daal/alif
Re: Bait Bazi - November 2013
deeda-o-dil ko sambhalo ki sar-e-shaam-e-firaq
saaz-o-saman baham pahuncha hai rusvai ka
kaaf/alif
Re: Bait Bazi - November 2013
*kahnay ko myra uss say koi waasta nahi,
amjad magar wo shakhs mujhy bulta nahi, *
noon
Re: Bait Bazi - November 2013
Naaz Hai Taaqat-e-Guftaar Pe Insanon Ko
Baat Karne Ka Saliqa Nahin Nadanon Ko!
Kaaf/wao
Re: Bait Bazi - November 2013
*‘Kya Khabar Thi K Ik Pal Mein Bichar Jaye Ga Wo,
*
**‘Jise Apna Bnane Mein Zamane Lage,
laam/ye
**
Re: Bait Bazi - November 2013
Ye Kaisa Dour Hay jis Main, Mujay sun'ney Parey Saaqi..
Wabaal'e Hosh k Taa'ney, Shikast'e Jaam k Shikway..
SHEEN/YE
Re: Bait Bazi - November 2013
Ye na thi hamari qismat k wasa-e-lay yaar hota,
agar aur jeetay rehtay ye he intazaar hota,
hey/alif
Re: Bait Bazi - November 2013
ab key hum bichray tou shayad kabhi khwaabon mein milein
jis tarhan sookhey huey phool kitaabon mein milein
meem/noon
Re: Bait Bazi - November 2013
nyyat e shoq bhar na jaen kahin
tu bhi dil se utar na jae kahin
kaaf/noon
Re: Bait Bazi - November 2013
Kahan aa k ruknay they rastay, kahan morr tha usay bhool ja
wo jo mil gaya usay yad rakh jo nahi mila usay bhool ja
Jeem/Alif
Re: Bait Bazi - November 2013
ab ke kuch dil hi na maana ke palat kar aate
warna hum dar-ba-daron ka to thikana tu tha
te/alif
Re: Bait Bazi - November 2013
**Tuu badal gayaa mujhse, gham iskaa nahi mujhko
Gham hai keh, tere gesuu, ghairon ne sanwaare hain
Hey/noon**
Re: Bait Bazi - November 2013
hum ne jis jis ko bhi chaha tere hijran mein, woh log
aate jaate huye mausam the, zamana tu tha
te/alif
Re: Bait Bazi - November 2013
Agar Deta Khuda Kuch Ikhtiyar Ka Mojiza Mujhe
**Mai Apne Hathon Se Apne Muqaddar Mai Likhti Usey
alif/ye**
Re: Bait Bazi - November 2013
Aik wazahat ke lamhe main mujh par ye ahwaal khula
Kitni mushkil paish aati hai apna haal bataane main
meem/noon
Re: Bait Bazi - November 2013
**Naye zamanon ko qurb orrhey, zayeef lamhey, niddhaal yadain,
Tumharey khawbon ke band kamron mein laut ayen to laut ana
alif**
Re: Bait Bazi - November 2013
Abhi to dil mein halki si khalish mehsoos hoti hai,
Bohat mumkin hai, kal is ka mohabbat naam ho jaye.
jeem/ye