Bait Bazi Month of May 2008

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Uski ankhon ko kabhi ghaur se daikha hai faraz`
ronay waalon kii tarrah, jaagne waalon jaiisiii..

Yeh

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Yahan Kissi Say Um"meed e Wafa Na Kar Kausar
Yahi Samajh Lay K Yeh Daur Pat'tharoo'n Ka Hay

Yay

Re: Bait Bazi Month of May 2008

ye parinda kanwal ummeedon ka...

kitni onchi oraan rakhta hay...........?

ye

Re: Bait Bazi Month of May 2008


yahan jo bhi thehra makan me kabi koi na muj men bas saka**
k musaafiron ka kasoor kia mera dil hi banjar zameen tha**

Ajj Phir Unn Ka Samna Hu Ga
Kiya Pata Uss Kay Baad Kiya Hooga

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Ab Bhaagtay Hain Saaya e Ishq E Butaa'n Say Hum
Kuch Dil Say Hain Daray Hovay Kuch Aasmaa'n Say Hum

Meem

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Main tujhe dhoondne yaadon ki khulli sarkon parr
khushkk patton kii tarrah rozz bikharr jataa hoon

Noon

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Na Itni Taiz Chalo Sar Phiri Hava Say Kaho
Shajar Pay Aik hee Pat'ta Dikhai Dayta Hay

Yay

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Yehh pehlayy sooch lo phir aur tanhaa na ho jana....
use chune ki khvahish mein use paane ki koshish mein

Noon

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Naheen Nigah Main Manzil Tou Justajoo Hee Sahi
Naheen Visaal Mayas'sar Tou Arzoo Hee Sahee

Yay

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Yunhi faaslon ko sajaye rakh yehi intizar rehne day...
maire zehen-o-dil k sukon par maira ikhteyar rehne de

Yeh

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Ye be-khudi hey hum'dum be-chaargi nahi hey
tumheiN kahaa tha na hum ye dil-lagi nahi hey
kya raaz hey ye aakhir tum khud sey pooch lo na
kiuN ye aag chaahatoN ki ab tak bujhi nahi hey

Re: Bait Bazi Month of May 2008

ye kiya howa teri dunya ko ae khudaay kareem

k zinda lug tarusty hen zindagi k liye................?

noon

Re: Bait Bazi Month of May 2008

najaane tum se nataa jab se choota hai
sada dil k tootne ki aati hai shenai main

^ Abeeha... last word was "Yeh"

Yaadon ne iztarab ki reikhaayen kheench diin
warrna maire sukoon ka kaaghaz safaid thaa

Alif

oooooops:CareBear: men ne dekha hi nahi.

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Abhi Din Charha hai Zara Zara Aey Sawaad e Shab Abhi Thehar jaa
Abhi Kehna Chaha Tha Haal e Dil tu Bhi Chal Diya mujhey Chor Kar

Re: Bait Bazi Month of May 2008

rah-e-wafa men khushi kam hy aur malal buhut

khuda kary k salamat rahy hansi teri..................

ye

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Yeh kaisii ajanabii dastak thi kaisii aahaT thi
taire siva thaa kisse haq mujhe jagaane kaa

Alif

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Ek Teray Rooth Janay Se
Saari Dunya Khafa Si Lagti Hai

'Ye'