Bait Bazi Month of May 2008

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Yeh Bhi Poochayengay Ki Tum Itni Pareshaan Kyon Ho,
Ungaliyan Uthayengi Sukhay Huey Baalon Ki Taraf

Fey

Re: Bait Bazi Month of May 2008

FazOol hAi Un Sey Yeh tAmAnA K Meray Gham Ki Dawa Karien Gey
Tabahii e Dil Pey jO tUll Gaye hOn wOh Dil Kii Tameer Kya Karien Gey

  • Yee *

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Yahan Manzar Se Pas-E-Manzar Tak Hairani Hi Hairani Hai
Kabhi Asal Ka Bhaid Nahi Khulta Kabhi Sacha Khwab Nahi Hota

Alif

Re: Bait Bazi Month of May 2008

abhi paya hi nahi k usay kho bhi diya
apni aadat hai har kaam mein ujlat karna..

Alif

Re: Bait Bazi Month of May 2008

andhi hawa najany ora lai kiya khabar

jany ye zindagi hy waraq kis kitab ka..

alif

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Ab tO Bas jAan Hi Dainey Ki hAi Baarii Aey "Noor"
Main kahaaN Tak KarOn Saabit Key Wafa hAi mUjh Mein

nOon

Re: Bait Bazi Month of May 2008


na samjo tum isay shor-e-bahara'N
khizaaN patooN maiN chup k ro rehi hia
hamaray ghar ki dewarooN pe nasir
udaasi baal kholay so rehi hia

"ye"

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Ye Havadis-E-Zamana Bari Door Legaye Hain
Mujhe Apni Zindagi Se Ye Nahi Ke Pyar Kam Hai

Yeh

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Ye Jo Main Nay Tazza Ghazal Kahi, So Hai Nazr Ehal E Firaaq Kii
K Na Mil Saka Koii Nama-Bar Mujhey Meray Yaar Kay Shehar Ka

Alif

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Uss Gherat-e-Naheed Ki Her Taan Hai Deepak
Shola Sa Lapak Jaye Hai Aawaz To Dekho

'Wow'

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Woh larki jo roshni ki shaidayii thi
suraj suraj kehte kehte raakh hui

yeh

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Ya Taiz Aandhiyon Pe Mujhe Ikhtiyar De
Ya Wo Charag De Jisse Bujhne Ka Dar Na Ho

Wao

Re: Bait Bazi Month of May 2008

wO Gya tO Saath Hii Ley Gya Sabhi Rang Utaar Key Shehar Ka
kOii Shakhs Tha Meray Shehar Mein Kisi dOor Paar Key Shehar Ka

Alif

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Aisa ghaur bhi acha nahi hai aisi batoon par
kisi ka nam likh likh kar mitana uss ko adat hai

mohabat mai wo sanjeeda hai kitna daikhtay rehna
mohabat kar kisi say yoon jatana uss ki adat hai

"Yay"

Re: Bait Bazi Month of May 2008

yeh tadbeerein bhi taqdeer-e-mohabbat ban nahi saktee'n
kese ko hijr may bhoolay rahay gayein ham magar kab tak?

"Kaaf"

Re: Bait Bazi Month of May 2008

kon kissi ki khatir dega itni sachchi qurbaani.........?


Badal sab ki piyas bhujhakar khud piyasa rehjata hy.


ye

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Yeh kia k roz ek sa gham ek si umeed
Iss ranj-e-bekhumar ki ab inteha b ho

wao

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Woh mujh ko toot kay chahay ga, choor jaye ga
Mujhay khabar thee ussay yeah hunar bhi aata hai


Wafa ke koun see manzil pay uss nay choora tha
Keh woh tu yaad humain bhool kar bhi aata hai

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Ye Ek Mela Hai Wada Kisi Se Kia Lega
Dhalega Din To Her Ek Apna Raasta Lega

alif

Re: Bait Bazi Month of May 2008

us simt chalay ho to bas itna use kehna
ab koi nahi hurf-e-tamanna use kehna

us ne hee kaha tha to yakeen mein ne kiya tha
**umeed pe kaa'yeem hai ye duniya use kehna **
<!--[if !supportLineBreakNewLine]-->
<!--[endif]-->