Bait Bazi Month of May 2008

Re: Bait Bazi Month of May 2008

wo hamsay mangta tha umar ka ik dil-nasheen hissa
na detay usko hum apni jawani aur kya detay

sitaaron se kisi ki maang bherna ik fasana hai
tumharay naam likh di zind'gani aur kya detay